Ye saat nawjawan rehte hai in, Kota
(Par inka luck hai khota)Ashiyana Digha RoadArea me rehte hai.
Ab thodehi na road par soenge!
Jay, Sanskar, Yuqt aur Nilay rehte hai as Paying guests in the Small Bungalow of Mr. And Mrs. Mahapatra.
Bungalow ka naam, Shanti Niwas...While Haryan, Jodh and Trinanjan rehte hai in the Bagal wali gali ke Mr. And Mrs. Kolhi ke ghar, Kolhi Residencey.
Ab bari hai ladkiyo ki.
Srishti and Kavya hai cousins. Srishti ki family thi waise to Chandigarh ki, par ab uske papa ka transfer hua to 6 saal se Kota me hai. Uski behen ko usi ki tarah IIT karni thi to wo bhi _____ se Kota, unke ghar me shift ho gai.
In dono ka ek hi kamra hai jiski khidkiyo se Nilay and Yuqt ka kamra dikhta hai. Aur unhe chahiye hi kya?
Uske bagal me Jain House jaha Akshita rehti hai, jo bachpan se hi waha rehti hai. IIT ka to isko bhi saukh hai.
Shanti niwas ke ek side hai Adil House jaha Hamari Bihari Aarzu rehti hai. Agar subah subah Bhojpuri gaane sunai de, to samajh to unhi ke ghar me gaane baj rahi hai. Ye hota hai pure saal...
Shanti niwas ke dusre taraf hai Banerjee House. Jaha ek Chudail rehti hai: The Sweetie Banerjee.
Bechare Yuqt ke peche padi hai ye chudail. Baki ladkiyo se bhi nahi pat ti iski. Ladki ka dimag ghutno me hai, sabhi ko dost manti hai jabki baaki ladkiya hates her.
Peeth peche chugli is obvious for her. Dogli no. 1
Banerjee house ke Bagal me Mishra house. Yaha Pinki rehti hai. Sweetie ki jodi. Dogli no. 2
Ab Road ke uss paar chalte hai.
Kolhi residency me Jodh, Haryan and Trinanjan ek bada kamra share karte hai.
Bagal wale Misra house ki Jasmine ke kamre ke saamne hi unka kamra hai.
Jasmine Hai to Delhi ki but Kuch saalo se uski family Kota me hi hai.Misra house ke bagal me hai Nazir house. Yaha bhi Bhojpuri gaane chalte hai par sirf Holi aur dono Chatt puja se pehle. Weird but true.
Misra House ke piche hai Sarkar House, Hamari Pyari Bangali may (girl).
Bagal wala ghar hai Sinha family, Yani mera. Pakki Bihari but with a tadka of Bengali. 5 saal Kolkata me rehne ka result...
Ab baaki hai last important ghar,
PROF. PD-NIM ka Bhootiya ghar. Ha. Ye manhoos vyakti bhi yahi, Isi Colony me rehta hai.
Ghar to bada hai, but afwah hai ki Raat me isme se Payal ki awaz aati hai.
Uff...
Itna samajh lo ki sab aas paas hi rehti thi.
Dimag ka dahi karke faayda nahi hai.
So Yeh hai map. Of soul nahi re pagli, of Their Colony, AG Colony...
आप पढ़ रहे हैं
PD-nim Bhi Kabhi Student The
Fiksi PenggemarTitle par kaam chalu hai "Ek chutki sindoor ki kimat, tumhe pata hi kaise hogi, bewde? " De Chappal De chappal...