Baysod para ha wo marzi ke yaad maApna nai to humara khayal kar latha wo
************************************
Third pov:
Raat ka dosara pehar kese ka Rona ka waja sa us ke ankh khol gaye pura kamara ma andara tha magar ya kamara to us ka nai tha
Wo yaha Kya kar rahe thi magar phir us ko raat wali baat yaad a gaye kesa wajdan ghar aya tha nasha ma or kesa us na us ka zakham par Markham raka tha us ke mafi sub kuch aj noor-ul-huda ko Khwab lag raha tha
Wo yahe soch rahe thi ka wo Khwab tha ya sach ka Rona ka awaz taz ho gaye kese ke or wo awaz awaz or kese ke nai balka wajdan ke thi
Magar wo q ro raha tha yahe soch kar wo jaldi sa bahir chali gaye magar wo kahe be nazar nhi a raha tha magar khamosh raat us ka dard bayan kar rahe thi asa lag raha tha ka wajdan ka sath aj ya raat be sog mana rahe thi lekin jo ya sog mana raha tha wo Noor ke nazar sa dhoor tha dill ke halat kharab ho rahe thi Kya wajdan be ro saktha ha
Afsos noor-ul-huda bhol gaye thi baki duniya ke tarha ka us ka wajdan be insan ha dill raktha ha or jaha dill ho waha dard or ansoo na ho momkin kaha ya baat dill ajeeb cheez ha ha to ghost ka magar jab jab chot lagthi ha tooth sa jatha ha bikar jatha ha bala ghost ko be dard hotha ha ya sawal aj tak koi nai hal kar saka ha
Andara ma wo pagalo ke tarha us awaz ka pecha bhag rahe thi magar asa lag raha tha ka wajdan is ghar ma tha he nai bus awaz thi or anso jo us ke ankh sa gir raha tha magar ya Kya us ka ansoo Noor apna dill par kesa girtha hwa mehsos kar rahe thi Kya tha ya ishq pyaar ya phir kuch or is sub sa para Kya koi or jazba tha jo Noor ka dill ma ua ka wajdan ka liya tha Kya ishq sa be afzaal koi jazba tha aj sawal he sawal tha magar yaha waqt kis ka pass tha jawab talash karna ka liya yaha to ishq roo raha tha or ashiq pagalo ke tarha nanga paon bhag raha tha taka wo ishq ko gala laga saka
Magar Kya aj ishq ashiq ka gala lag saktha tha yaha to ishq khud apna ashiq sa nafraat kartha tha ajeeb khal ha kismat ka be eik ho kar be ashiq ishq sa mehroom tha
Pura ghar dakhna ka baad noor-ul-huda ko wajdan akhir swimming pool ka pass mill gaya pata nai wo swimming pool ka pani ma apna ansoo baha raha tha ya us pani ma kisi ka chehar dhond raha tha or ya baat kisi sa chupi nai thi ka raat ka is pehar wo kis ko roo raha tha kis ko dhond raha tha or sari Kainat sharmendagi sa aj Noor-ul-huda sa ankha mili nai rahe thi q ka wo raat ka is pehar apni purani mohabbat ya phir galati ko roo raha tha or eik mehram jab namehram ka gham ma ya judai rotha ha tab takleef zayad hothi ha magar yaha eik mohabbat ko roo raha tha to dosara apna ishq ko rotha dakh raha tha or ishq hamesha Mohabbat ko pecha chortha ha aj be Noor-ul-huda apna ishq ka liya agaa bari thi wajdan ke taraf har baar ishq karna wala dard q chuntha ha har baar jaan kar be khud ko aag par chalna sa nai roktha ha agar Mohabbat andi ha toh ishq pagal ha or pagal to dard seh kar be khush rehtha ha eik anda tha pyaar ma to dosara ishq ma pagal tha pata nai pagalpan na jetna tha ya phir andi mohabbat na .
Noor-ul-huda dera sa wajdan ka pass beth gaye bina kuch bolna bus us ko dakhna lagi thi q ka hum ya bhol jatha ha jab koi dard ma hotha ha toh bus kisi ka sath chahtha ha us waqt us ko ya bolna ka tum galat tha ya jo tum kiya galat tha ya sub bathain us ka zakham or taza karthi ha magar yaha raat ke khamoshi ma Noor be khomish thi wo khamoshi sa wajdan ka dard ko mehsos kar rahe thi Kya Kya nai chupa kar raka tha is insan na apna andar aj agar koi wajdan ko dakhtha to yaqeen nai kar patha ka ya wahe wajdan ahmed ha jo duniya ka liya pathar dill tha jo bus dard dana jantha tha .
Agar koi Noor ko abhi a ka bathi thi ka wajdan pathar dill ha to wo bolthi ka nai mera wajdan ka pass sub sa zayad masoom or pak dill ha jo thoth cuka ha is liya wo us ko ab dafan kar cuka ha magar dill ko kahe be dafan kar lo agar is ke kismat ma dard likha hotha ha to wo is ko miltha ha chaha ya qabar 100 gaz necha he q na ho
![](https://img.wattpad.com/cover/166092552-288-k223154.jpg)
YOU ARE READING
A Replacement (ON HOLD)
SpiritualWe all replace something or someone in our life because it's a human nature but muja nai pata tha ka ma be eik din kisi ke jaga lon ge........ I'll be also call a replacement.......... The person I love so much will hate me ..... You're nothing but...