raaz-e-dill

50 5 7
                                        

Asalam O Alikum
I'm back yayyyyyy 😂
Do you guys miss me?
Let's start again okay?

************************************

نم آنکھیں برسی تھی

جب ملی تھی نیلی آنکھوں سے

****

S

oraj pura aab-o-tab ka sath Islamabad shehar ko roshan kar raha tha lag he nhi raha tha ka kal raat barish khoob baras kar gaye thi yaha

magar barish ke eik baat achi hothi ha ya neshan chor jatha ha jab ka use barish ka sath mill kar jab koi insan apna ansso baha raha hotha ha wo be-neshan reh jatha ha un ka kisi ko be pata nhi lagtha ha

Barish yon toh sub kuch baha kar la jathi ha apna sath magar ya kam bakht dill ka zakham ya dukh nhi la ja sakthi ha apna sath

khirki sa athi soraj ke roshi uske ankho sa takrayi thi or uske needh ma jesa kisi na koi halaal dala ho sath ma side table par para phone jo ka be-jaan para tha eik daam sa roshin ho kar bajna laga jesa apna hona ke gawahi da raha ho

Na chahtha hwa be usko ankha kholni pari or samna gari par nazar parhtha he uske kholi ankha or khol gaye q ka gari par 09:00 bajh raha tha matalb us na aj zindagi ma phehli baar fajar qaza ke thi

Magar jald he wo us sadma sa nikal aye q ka phone baar baar bajh raha tha

Uske gehri hari ankho ma gussa na jesa apna rang sama liya tha chehra gussa sa lal ho gaya eik toh fajar na parhna ka gham or upar sa ya phone

Eik lamha ko dill chaha ka phone samna dewar par mar da magar wo srif ya soch sakthi thi

Phone par ahzaar calling dakh kar uska gussa tora sa kam hwa warna toh wo kya kya karna ka soch rahe thi

ASALAM O Alikum

SALAM ma aj be phehla us na ke thi

WALIKUM ASALAM kidar thi larki kab sa phone kar raha hon ab ya mat bolna ka so rahe thi q ka noor bibi is time tak tum sona sa rahe

eik he saan ma us na hazar sawal be kar diya jis ke waja sa noor ka mata par shekan ban gaye

Tumha kis na kaha tha muja phone karna ka liya or wasa be aj sunday ka din ha is liya maybe sothi reh gaye ma or bolo phone kis liya kiya ha?

Acha ya batao collage kab sa aoa ge madam eik week sa off ho ap ab toh teacher's be a ka mujh sa pochna lag gaya ha jesa ma tunhara PA hon

Toba ahzaar eik kam sahe sa nhi kar saktha ho tum or wasa be In Sha Allah kal aon ge ma dont worry

Sukar ha warna ma toh akala bore ho kar he mar jatha

Bakwas he kara lo tum sa bus ab phone rako kal baat ho ge

OK Allah hafiz

Phone ko wapis table par rak ka wo washroon chali gaye fresh hona wash room sa nikal kar uske nazar jayanemaz par pari or qaza nemaz parhna lagi wo

Nemaz parh kar uska roh ab necha ke taraf tha

Necha kicthen sa kisi ka bolna ke awaz a rahe thi or eik awaz par uska dill rokna laga tha matalb wo jo eik week sa ankh majoli khel raha tha aj usko khatam kar raha tha yaha usko lag raha tha ka aj be wo uska jagna sa phehla ghar sa kahe gaib ho jaya ga

Kicthen ma ayema aunty or wajdan dono usko nazar a gaya tha

ASALAM O ALIKUM Ayema aunty toh ap ko humari yaad a he gaye warna muja toh laga tha ap toh bhol gaye ha hum sub ko

A Replacement (ON HOLD)Where stories live. Discover now