Mera naam Zayn hai mere do bhai aur aik pyari aur bohat hi himayati behan hai, mere walidain hum sab ke liye aik sale jhilli (cell membrane) ki terhan hain .
Mera khandan Pakistan ke mashhoor shehar Karachi mein rahaish Pazeer hai, walida ki taraf ke rishta daar shehar se dour balkay mulk ke dosray soobay mein rehtay hain jiski wajah se un se hamari mulaqaat nah honay ke barabar hai, ek waqt men ham dadhyali azeezon ke sath mushtarqa khandan ( joint family ) ki soorat mein rehtay they, magar mere waalid sahib ny ilaqay ki kuch na munasib ravayye walay jahalat amaiz logon ki wajah se allag ghar karne ka faisla kya, mein us waqt 9 saal ka tha jab mere waalid ny aik jahalat bhari bastii se parhay likhe aur roshan khayaal muashray mein hamein muntaqil kya, jahan hum kuch arsa kam o besh 3-4 saal rahay phir hum –apne dada ke ghar nazdeek dosray ilaqay mein muntaqil hogaye, us waqt taq mein bohat pursukoon aur pyar bhari zindagi basar kar raha tha ke phir woh waqea runuma hwa jis ny mujhe khoshion bhari zindagi se jhnjorh kar tareek aur talkh yaado wali zindagi mein dhkil diya .
YOU ARE READING
معصومیت
Mystery / Thrillerایک عام گھرانے کا لڑکا ایک اذیت کا شکار ہوتا ہے ، جس سے اس کی زندگی بہت تیزی سے ایک ایسی چیز میں بدل جاتی ہے جس کے بارے میں اس نے کبھی سوچا بھی نہیں ہوتا۔ جب کہ اس کا مقابلہ دنیا کی تمام غلاظتوں سے ہوا ہوتا ہے مگر پھر بھی وہ انصاف اور انتقام کے لئ...