Mathe ki shikan se
kismat se shikayatein,
Sab tune hi sikhaya aye zindagi
bss kuj waqt ke saath aa gaya
toh kuj adhuri tamannaon ke saathHathon ki lakiron se
kismat ke khel tak,
Sab tere hi toh hath mein hai aye zindagi
bss kuj humare karm ke saath badalte gaye
toh kuj logon ke hum pe kiye karm ke saathKisi ka hath pakad ke chalne se
akele chalne tak ka Safar,
Teri hi di seekh toh hai aye zindagi
bss kuj logon ne tera saath de diya
toh kuj ko humne hi kho diyaKhushi ke aansuon se
gam mein muskurane tak,
Sab tune hi sikhaya aye zindagi
bss kuj waqt ke saath aa gaya
toh kuj adhuri tamannaon ke saath.********
आप पढ़ रहे हैं
Mere Alfaaz
PoetryMere alfaaz meri pehchan hai , kabhi in alfaazo ko nazar andaaz na krna mere ehsaas mere khaas hai, kbhi us ehsaas se khilvad na krna. (The lines doesn't belong to me solely. I read them somewhere on Google and modified it in my way as it was apt fo...