Iss sheher ki sahar
Ajeeb sa paigam de jati hai,
Mano ghr se dur
Apna pinjra chod ude iss panchi ko
Apnepan ka sukoon.Iss sheher ki saanjh
Ajeeb si hi deewangi hai ismein,
Mano sapno ki udaan mein
Mukaam ki iss daud mein
Mastani si ek harkat.Iss sheher ki subh
Ajeeb si hi khusboo hai iski,
Mano maa ki yaad mein khoye
Manzil taraste hoye
Ek saundhi si vo chai ki sugandh.Iss sheher ki raina
Ajeeb sa hi khumar hai ismein,
Mano khud se ladte
Khud hi ko hausla dete
Mere sheher ka vo asra.Kuj aisa hi hai mere sapno ka seher,
Apno se dur hoke bhi
Khaalish kbhi hone nhi deta,
Uthte sambhalte iss dagmagati si dagar mein bhi
Hosla kbhi tutne nhi deta.********
आप पढ़ रहे हैं
Mere Alfaaz
PoetryMere alfaaz meri pehchan hai , kabhi in alfaazo ko nazar andaaz na krna mere ehsaas mere khaas hai, kbhi us ehsaas se khilvad na krna. (The lines doesn't belong to me solely. I read them somewhere on Google and modified it in my way as it was apt fo...