Ek Khat Nafrat Phailanewalon Ke Naam

33 3 1
                                    

(Tum - Nafrat Phailanewale,
Hum - Aman/Shanti Chahnewale)

Hindu-Muslim me kyun baant rahe ho desh ko
Jitna hai tumhara, utna hi ye hamara hai
Ek hath se sajti nahi hai mehfil
Tumne aur humne milkar ise banaya hai

Mil baant kar jeene ki pratha thi hamari
Kyun dhundla pad gaya ab uska saaya hai
Pyar ki boli pad gayi hai ab pheeki
Nafrat ka ye kaisa andha dhundh chaaya hai

Shayad tum chutti pe the, jab
Anekta me ekta ka paath hume padhaya tha
Ya phir bhool gaye ho tum woh sabaq
Par humne ab bhi apne dil me use basaya hai

Bohra jati hai samajh, hairaan hain aqal
Is nafrat ki lehar ko ubharte dekh
Panap rahi thi ye pehle se dilon me
Ya phir naya beej tumne ab ye boya hai

Dost banate waqt nahi dekha tha
Koun Hindu hai, koun hai Musalman
Na souda lete samay farq kiya kabhi
Ke ye apna hai aur woh paraya hai

Na jaane kyun phir aaj har vyavhaar me
Apne paraye ka naya riwaj banaya hai
Nafrat phailane walon, ye bantwara karke
Zara batao akhir tumne kya paaya hai

Badi mehnat se, humne aur tumne milkar
Saalon pehle angrezon ko haraya tha
Bantware ki unki policy ko zinda karke
Aaj phir se tumne unhe jitaya hai!

Sher Arz Haiजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें