Chapter One: Kagazi Khizah

72 3 3
                                    

_____________________________________

{"Sarsantey fizain, yeh yaadon ke dorri se bandha jhula, ghultey baaghi hawai aur yeh taanket raahein tere aa na ke muntazar thi aur ajtak hai..." - by myself}

______________________________________

{Haal}
Pakistan,Islamabad

October ke nmm dhoop kaanch ke khinke se takraye roshaniya behkr rahi thi,hawai anchal se behte zard paaton ko shakaon se juda krti zameen ka guad main solaye pursukoon sa mahol kayam kar rahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

October ke nmm dhoop kaanch ke khinke se takraye roshaniya behkr rahi thi,hawai anchal se behte zard paaton ko shakaon se juda krti zameen ka guad main solaye pursukoon sa mahol kayam kar rahi thi.

Iss saal khizah ka raut bhuth sare  sunharey rang aur khusburat lekar aye the aur iss sunharey mahol se bilkul anjan andar betha shaks apne kam mein masroof tha. Haath mein pen liye wo samne maiz par rakhe kagaz par alafzon ke shakal mein apne jazbaat utar raha tha ke achanak usske kamre ka darwaza khula tha. Ik larki toofan se andar aye thi.

"Chachu! Chachu!"

Tehra saal ke Zeenat humesha ke tarah iss bar bhi Ibrahim ke kamre mein be- dharak ghus aai thi.

"Zeenat. Mere pyar se choti se Zee. Kabhi apne chachu ke kamrey mein knock kar ke bhi aya karo."

Ibrahim pen holder mein rakh kar wo Zeenat se mukatif huwa tha, Jabke wo usske baat ko unsuna kar ke jhalak martey usske bister par beth gayi aur purjosh hoti kehn na lage.

"Ussey chorey,ik dhamakedar khabr laye ho! Ap sune ke toh ap bhi khushi se pagal hojayegey."

"Issey kya khabr hai." Ab toh uss bhi jan'na main dislchaspy hue the. Wo kursi ko pechey karta, seedha huwa tha.

"Wo arhi hai." Zeenat na dheemi awaz mein kaha jaise koi khufiya raaz bata rahi ho.

"Wo kaun?"

"Array! apke Sara..."

"Mere matlab?!"
Usske sans atke thi

"Mera matalb,apke best friend Sara."

Ibrahim ki ik lamha pehley jo sans atke thi wo phir sey bahal hui thi. Zeenat ke bina soche samjhe bolna wale adat na ik na ik din uss ke jan ley lekar he chorey gey.

Usske bhuth se adatien Sara se milte thi. Dono he pagal thi.

uss na soch tha aur jane anjaney mein usske hoonton par halke muskarahat aye thi,jis se wo khud bhi bekhabr tha.

"Ap muskara kyun rahe hai?"
Zeenat na uljhe nzron se dekha toh wo harbaratey huwa apna chasma seedha karta naffy mein sar hila na laga.

All The Promises Of LifeWhere stories live. Discover now