Chapter Four:Waqt Ki Urran

51 3 0
                                    

"Kahon kya kahongey pal mein he chamaka ge hanse purane toh...kahaon kaise chupaogey nmmy ya palko ke.."-Hai Junoon

______________________________________

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

______________________________________

11 saal pehley
Pakistan,Islamabad

"Sara! Sara! Sara!"

Sara chingam chabati baal jhatkti apne naam ka pukar par palati thi.

Wohi shaam se surmaiye,purkoshish ankhein jin mein aksr sharart chamakti thi. Pandaraha saal ke woh zindagi se barhi Sara bhuth he shararti aur khubsurat thi.

"Kya huwa Asim?" Wo muskarahat bakarar rakhti uss sey mutwaja hui thi.

Sara apna dosto ka saath bahr School ka serriyon par bethi hansi mazak kar rahi thi. jab Asim daur se usska naam pukrta dorrata huwa aya tha.

Asim junior class ka larka tha. jo Sara aur usske gang ko bakhubi janta tha. Balke sirf Asim he nahi in aathh
saalon main Sara aur usski banaye Lions Gang pura Shining Stars High School main he mashoor the.

Yeh Lions Gang inn paanch doston se bani the;Laiba Aziz,Ibrahim Murtaza,Omer Rizwan,Noman Ali,aur khud Sara Ahmed.

Laiba ko parhaye se zyda fashion main dilchaspey rehti,woh dimag thore se naadan thi lekin dil se utne he ache.

Ibrahim The I of the lions. Zaheen Samjhdar aur masoom sa larka tha, jis se kitabon ka pechey se dunia tatulna pasand tha.

Omer ko apne aur apne doston ka ilwa aur koi bewakuf lagta tha. Ussey apne kabilyat ke ilwa kise chez se pyar tha toh wo tha. basketball.

Aur Noman gang ka sabse shararti larka,class main ussey sab bandar bolya karte hai kyun ke wo ik second ka liye bhi khamosh ya seedha nahi betha sakta tha,kabhi idher jhalak mare toh kabhi udher.

Akhire main Sara,yeh jitne he samjhadar thi,ussey bhi kahin zyda shararti. kabhi dhoop thi toh kabhi dhoop main thandi chahon.

Inn Paanchon ka alag alag mizaaj thai,alag alag rang tha aur iss ka bawajud woh ik raang main rangey tha woh tha dosti ka rang. Jaise saath rang milkar dhanak banta tha waise he inn paanchon ko milkar dosti ka dhanak baantey the. Ya ik dosre se larrtey bhi thai toh ik dosre ke liye larr na bhi jaantey thai.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
All The Promises Of LifeWhere stories live. Discover now