Chapter Three-Bekhabr se hawai
___________________________________________________________________________
Khizah na ik par phir rukh badla tha, Sardi anagrrai lete hue hawao mein ghuli thi aur uss raat ko guzre,kahin raatien guzar gayi thi.Jaise saal ka sare mausum ik se nahi rehte waise insanon ki mizaj bhi humesha se waise nahi rehta. Zindagi tehrna ka naam nahi,zindagi naam he raivangey ka hai aur iss waqt ka behtey manjhandar na Ibrahim ko bhi waise nahi rehna dia tha jaisa woh tha. zindagi ka iss badletey rauton ka safar main uss na jana tha ki zindagi kitne choti hai aur issey sahe tareeke se jeena kitne zarore. issey ik rang main nahi balke kahin rangon main ghul kar jeena chahye. Iss liye Ibrahim na khud ko mehdud hona sa ruka tha,sardo main jeena se ruka tha. Aur iss liye Ibrahim na likhna ka saath saath doctory ko bh apna junoon bana liya. Doctor bana na usske majboori ya paisa kama na ka zairya nahi tha balke zindagi sa jorre rehna ka zairiya the. Wo logo ko takleef se bacha na chahta tha kabhi alafzon ka zairey tu kabhi dawaon ka zaireye. Wo logo bacha na chahta kyun ke woh apno ko bacha nahi paya tha.
Paanch saal ka liye woh medical ka taleem hasil karne ka liye karachi chala gaya phir wohi house job karna ka bad wo iss he saal Islamabad wapas aya tha aur yeh he apne practicing jare rakhe. ussey ik private hospital main kam milgaya tha jaha gareeb logo ka free main ilaj kya jata aur Ibrahim ko ussey ache jaga kam karne ka liye he nahi sakti thi kyun ka usska doctor bane ka asal waja he logo ka madad karna the na ke paisa kamana.
Aj wo zindagi main jaha kahin bhi tha wo khush. Adha adhura he sahe par puritmaan tha. Ibrahim khush tha apne kamyabi par. Lekin haar kis insan ki tarah Ibrahim zindagi main ik kalish baaki th,ik kaami baaki thi. usske kayambi ke jashan mein jo humesha Ibrahim na mehsos ke aur shyed ageey bhi kare, wo thi Sara. wo chahta tha usske khushi ke mauqay par wo usske saath hoti,usske kamyabi mein shamil hoti usske liye talaya bajati aur nakamyabi mein wohi haath ageey barha kar ussey utha'ti.
aur aj tu Ibrahim ko usske kaami kch zyda he mehsos ho rahe the. jab wo aaina ka samne karha kise
award ceremony mein jane ke liye tayar ho raha tha. Ussey best story writer aur best scriptwriter ka award milna ja raha tha. wo usske zindagi choti nahi bare kamyabi thi.Ibrahim sirf 23 saal ka tha jab ussne apne pehley kitab 'Bachpan Ka Yaadien' chapwaye the. uss waqt ussey kaha pta tha ki ik din usske likhe gaye kitab na sirf mulk bhaar main saharain jayege balke chaar saal band usske kitab par banye hui movie par ussey awards bhi nawaz jayege.
Kise na thek kaha tha, "khawb dekh he iss liye jate hai ka sach ho sake."
Wo apne khayalon mein khoya aaina ke samne karha tha,jab darwaz par halki se dastak hui thi.
"Come in." Ibrahim na darwaze ke taraf dekhe beghair kaha tha,wo party ke mukamal tor par tayar tha sawai ik chez ka,Tie jo wo haath mein pakre bandhe na ke koshish mein tha ke pechey se awaz aai thi
VOUS LISEZ
All The Promises Of Life
Roman d'amour"Waada karo ki tum humesha mere saath rahogi." "Humesha saath rahna ka waada toh nahi kar sakti magar humesha saath nibhane ka waada zaror karti hon." "Promise?" "Promise. _________________________________________ "I hate you Arhaam!" Sara na jane...