PART 7

329 20 73
                                    

NEXT DAY
All are done with breakfast.
Vikram:- guddan, i have to go now.

Guddan(sad):- kaha aur kyu?

Vikram:- woh mene ek hotel room book kiya hai aur fr mera pura saaman wahi hai toh bas ab wahi jaa rha hu-

Before he can complete his sentence sanyu interrupts.
Sanyu:- lekin aapne toh kaha tha na ki ab aap guddan ko chod kar nahi jaoge.

Randhir:- yeh galat baat hai. Jab tumhara apna yaha ghar hai toh fr tum hotel me kyu rahoge?

Vikram:- meri baat-

Before he can complete his words guddan interrupts him this time.
Guddan:- rehne do tum dono. Bhai yaha thodi rahenge. Mujhe chod kar na jaane ka promise karne ke baad bhi jaa rahe hein.

Vikram:- guddan-

Guddan:- nahi nahi. Aap jao. Aap ise apna ghar thodi maante ho. Aap mujhe apna thodi maante ho joh aap yaha rukoge.

(Kaka is shocked seeing her behaving like this but sandhir are happy because this is the real guddan. Agar koi baat na maane, toh emotional blackmail)

Sandhir look at each other happily.
Kaka(whispers):- yeh guddan bitiya ko kya hua?

Sanyu(whispers):- haan kaka. Yeh hai normal guddan. Itne saalon me pehli baar guddan ne aise behave kiya hai.

Randhir(whispers):- haan. Guddan dheere dheere normal ho rahi hai.

They smile at each other.

Guddan:- jao aap. Jao. Aap yaha kyu rukoge.

Vikram facepalm himself and nods at her childish sister. Guddan gets up but Vikram holds her hand.

Vikram:- itni badi ho gayi lekin yeh aadat nahi gayi teri, emotional blackmail karne ki.

Guddan smiles sheepishly but still put her sad face.

Vikram:- arey bhyii meri puri baat toh suno. Meri puri baat sune bina hi chalu ho gaye tum log.

Randhir:- haan theek hai. Bolo.

Vikram:- Me keh raha tha ki mera pura samaan waha hai toh use lene toh jana padega na. Tabhi toh me yaha rahunga.

Sanyu:- ohh!! Sorry sorry.

Vikram:- koi baat nahi. Me janta hu tum guddan ke liye kitni fikr karti ho.
And smiles.

Guddan:- toh me bhi chalu sath me?

Vikram:- koi jarurat nahi hai. Kal hi itna bada event kiya tha, toh aaj tu aaram kar.

Guddan:- lekin-

Vikram(glares):- guddan.

Guddan:- ohky.

Randhir:- me toh chal sakta hu na Vikram.
Vikram looks at him and understand.

Vikram:- haan.
Then they both go.

IN CAR
Vikram:- kya baat hai randhir?

Randhir:- yeh toh me tumse puchna chahta hu. Kya chal raha hai tumhare munn me?

Vikram:- tumhe kaise pata chal jata hai?

Randhir:- bhai hu me tumhara.

Vikram:- toh isiliye tum aana chahte the mere sath. Hena.

Randhir:- haan. Chalo ab jaldi se batao.

Vikram:- aaj itne saalon baad guddan se mil kar me yahi soch rha tha ki bahut kuch haasil toh kar liya hai lekin usse kahi jyada dard jhela hai meri behan ne in 4 saalon me. Sirf unn logo ki galti ki wajah se. Aisa bhi kya kiya tha meri behan ne? Kya galti thi uski? Yahi ki woh apne apno ko dard me nahi dekh sakti, kisi takleef me nahi dekh sakti..k Aur fr wahi karti hai joh sahi hai. Joh galat hai uske khilaaf bolti hai. Lekin jab use unn sabki jarurat thi toh sab peeche hat gye. Kyu? Kya rishte sirf ek taraf se nibhaye jate hai! Arey dusro se kya kahe jab khud ke apno ne hi uska sath nahi diya, uss par bharosa nahi kiya. Kyu hua uske sath aisa? Kyu?

Will They Unite? (Completed) ✅Where stories live. Discover now