Vikram:- guddan meri-
Guddan takes a step back emotionlessly. Everyone is shocked with her behavior because whatever the condition was, guddan never reacted Emotionlessly.
Randhir:- guddan, ek baar humari baat sun lo.
Guddan(emotionless):- nahi kiya papa ne bharosa.
Vikram:- guddan-
Guddan(emotionless):- kyu? Kyu nahi kiya? Unki har baat maani. Fr kyu nahi kiya? Kya unhe bilkul bharosa nahi tha?
Sanyu holds her and shakes her.
Sanyu:- guddan hosh me aao. Yeh aise kaise bol rahi ho tum?Guddan(emotionless):- aise kaise matlab!! Sahi toh hu. Dekho. Tumhare saamne khadi hu. Aur woh bhi jinda. Itna sab hone ke baad bhi. Aur kya chahiye. Aaj tak toh fr bhi jee rahi thi me, lekin aaj toh andar se mar gayi hu me.
Sanyu:- guddan-
Guddan:- kyu bharosa nahi kiya unhone? Kyu?
Seeing guddan in that condition, sanyu slaps her.
Sanyu:- kya bakwas kar rahi ho guddan!! Hosh me aao. Iss tarah nahi tut sakti tum.Now guddan looks at her and starts crying. She falls on her knees.
Guddan:- kyu bharosa nahi kiya papa ne? Mumma ne bhi nahi kiya!! Kya kiya tha mene aisa? Joh unhe mujh par believe nahi hua!! Accha chalo jab tak sach saamne nahi tha tab tak samajh me aata hai. Lekin sach saamne aa jane ke baad bhi unhone mujh par believe nahi kiya!! Kyu? Kya duniya ki baatein unki beti se badkar ho gayi unke liye? Aaj tak mujhe bhi kahi na kahi lag raha tha ki papa ko jab sach pata chalega na tab woh jarur mujh par bharosa karenge. Mujhe lene aayenge. Lekin nahi. Aaj woh umeed bhi tut gayi. Kyu? Kyu? Mere sath hi kyu?
And cries vigorously.All are trying to console her but guddan faints due to excess crying. Sanyu pats her cheek.
Sanyu:- guddan!! Uth!! Aankhe khol guddan!!
Vikram:- ise room me lekar chalte hai.
And carries her to her room.Kaka:- me paani lekar aata hu.
And goes to bring water.GUDDAN'S ROOM
Kaka comes.
Kaka:- paani.Sanyu takes glass from his hand and sprinkles water on her face but she doesn't come in senses.
Randhir:- me doctor ko phone karta hu.
And goes to call doctor.AFTER SOMETIME
Doctor comes. Sanyu gets aside. Doctor checks her.Sanyu:- guddan theek toh hai na doctor?
Doctor:- nahi. Lagta hai inhe bahut bada shock laga hai. Inhe please khush rakhiye. Inki condition dekh kar lagta hai ki inki jeene ki iccha khatm hoti jaa rahi hai. Agar aisa lambe time tak chalta raha toh inhe bachaana mushkil ho jayega.
Everyone gets shocked with this.
Sanyu(shocked):- kya!!Doctor:- yeh mene kuch dawaiya likhi hai, inhe please time to time dete rehna. And most important, inhe jitna ho sake khush rakhiye aur stress se dur rakhiye.
Vikram:- thank you doctor.
Kaka:- aaiye. Me aapko bahar tak chod kar aata hu.
Doctor nods and they goes.Kaka comes after dropping doctor.
Sanyu:- yeh unn dono ne theek nahi kiya.Vikram:- mene unn dono ko mana kiya tha ki mat aana guddan ke saamne fr bhi.
Kaka:- lekin abhi guddan bitiya ko theek kaise karna hai, uske baare me sochna jyada jaruri hai.
They all are sitting beside her.
YOU ARE READING
Will They Unite? (Completed) ✅
FanfictionSabko lagta hai ki yeh humari kahani thi, akshan ki kahani thi. Lekin yeh kabhi humari kahani thi hi nahi. Meri jindagi bilkul smooth thi, bahut kuch saha toh tumne hai. Aaj tak yeh sirf TUMHARI kahani thi, lekin aaj ke baad yeh HUMARI kahani hogi...