Vikram(on call):- aane do unhe andar.
And cuts the call.They get angry at him but Vikram is thinking something.
OUTSIDE
Guard:- aap log jaa sakte hai andar.Revati and angad gets happy.
Angad:- dekha!! Ab chale.
Revati nods and they goes inside.INSIDE
Sanyu:- yeh aapne kya kiya bhai? Kyu andar aane diya unhe?Randhir:- haan, tumne dekhi thi na guddan ki haalat. Fr bhi!!
Kaka:- vikram baba, kya soch rahe ho aap? Aur kya karna chah rahe ho?
Vikram:- guddan ka dard kam karne ki koshish.
Sanyu:- aur aapko lagta hai ki unn dono ko yaha andar bulane se guddan ka dard kam hoga. Nahi. Uska dard kam nahi hoga, balki bad jayega.
Vikram goes and holds her from shoulder.
Vikram:- sanyu, bharosa hai na apne bhai par.Sanyu looks on.
Vikram:- kya hua? Jawab do? Bharosa hai na mujh par.Sanyu nods.
Vikram:- toh fr dekho me kya karta hu.Just then door bell rings. Vikram opens door.
Vikram:- aao.They both come inside. Revati and angad looks at sanyu but she turns her face away. They gets sad. Vikram notices that and tries to start the conversation.
Vikram:- kyu aaye ho tum log yaha? Mana kiya tha na mene.
Angad:- woh- woh 4 saal pehle joh bhi hua uske baad se revati bahut dukhi hai. Me bas yeh chahta tha ki ek baar guddan se mil kar maafi maang le, toh dil ka bojh kam ho jayega.
Sanyu:- yahi toh problem hai tum dono ki. Uss waqt bhi tumne khud ke baare me socha tha aur aaj bhi tum dono khud ke baare me soch rahe ho. Agar guddan ko tum dono sahi me apna maante, toh yaha nahi aate. Yeh sochte ki tum dono ko dekh kar use kitni takleef hogi. Lekin nahi. Tum dono ko khud ke baare me sochne se fursat mile toh toh tum kisi aur ke baare me sochoge. Aur 4 saal baad aane ka kya matlab hai!! Aate toh uss waqt aate, ab kyu!!
Revati and angad looks down.
Revati:- me jaanti hu, humse galti hui hai. Bas himmat nahi ho rahi thi yaha aane ki.Angad:- aur peechle 4 saalon me revati bilkul pehle jaisi nahi rahi. Me ise aur aise nahi dekh sakta tha. Isliye jabardasti use yaha bulaya hai.
Revati:- please hume maaf kar do. Humse bahur badi galti ho gayi.
But sanyu cuts her off.
Sanyu:- galti!! Tum use galti kehti ho!! Nahi revati, joh galti kisi insaan ko tod de, uska bharosa tod de, woh galti nahi hoti.Vikram signals randhir to make her calm down. Randhir nods.
Randhir:- sanyu, shaant ho jao. Tumhe Vikram par bharosa hai na. Toh use baat karne do. Please.
Sanyu nods.Vikram:- tum dono yaha guddan se milne aaye ho??
They both nods.
Vikram:- aur tum dono ko aisa kyu lagta hai ki woh tum dono se milegi? Me janta hu, peechle 2 dino me joh bhi hua hai, guddan ko usse nikalne me thoda time chahiye. Woh abhi tumhara ya apne past ka samna nahi kar sakti, abhi usme itni himmat nahi hai. Woh already tuti hui hai, apne past ke dard me uljhi hui hai. Toh me use aur todna nahi chahta. Aur mujhe nahi lagta ki woh abhi apne room se bahar aayegi. Aur tum dono ka naam sun kar toh bilkul bhi nahi.Revati:- toh hum kya kare?
Vikram:- joh tumne kiya, uske liye tum dono ko sahi me pachtawa hai?
They nods.Vikram:- me kaise maan lu? Ki tum sahi me pachta rahe ho?
Revati:- toh hum aisa kya kare jisse aap sabhi ko yakeen ho jaaye ki hume sahi me pachtawa hai uska, joh humne kiya.
YOU ARE READING
Will They Unite? (Completed) ✅
FanfictionSabko lagta hai ki yeh humari kahani thi, akshan ki kahani thi. Lekin yeh kabhi humari kahani thi hi nahi. Meri jindagi bilkul smooth thi, bahut kuch saha toh tumne hai. Aaj tak yeh sirf TUMHARI kahani thi, lekin aaj ke baad yeh HUMARI kahani hogi...