PART 30

246 21 34
                                    

Before starting the chapter I want to thank all my readers who vote and comment on my every chapters.
Thank you for always appreciating my work and encouraging me to write further. 🤗🤗

And silent readers too, i hope that u r enjoying my story. 🤗🤗

And secondly sorry for not updating the ts, as I want it to make it beautiful and up to your expectations that's why it is taking time and and there is one more reason which I will reveal in ts only. 😁😁

Ohky so enough of my banter, let's continue with the chapter.
So here it goes...





Guddan angrily goes towards that girl and turns her towards her.
And that girl reveals to be ANTARA.
Both are looking at each other with anger. 

Guddan:- jara si bhi tameez nhi h kya tumme ki bado se kaise baat ki jaati h. Ek to glti Tumhari h, gaadi itni tez tum chala rhi thi, ye keechad tumne uchala aunty pr aur unko hi suna rhi ho, unko bata rhi ho ki unhe kaha chalna h kaha nhi. Arey dusro ko bolne se pehle khud ko dekho. Me to ye soch rhi hu ki tumhe license mil kaise gya. Iss tarah rash driving karti ho, kisi din kisi ne case kar diya na tum pr toh accha nhi hoga. Ek hi second me ye hekdi (attitude) nikal jayegi tumhari. Aur kis baat ka ghamad h tumhe, inn paiso pr, iss gaadi pr. Tumne kamaya kya ye sab. Nhi na. Tumhare parents ne kiya h ye sab. Unhone kamaya h ye sab and i m sure izzat bhi kamayi hogi jo tum iss tarah mitti me mila rhi ho. Glti hone pr maafi maangne ki jagah akad dikha rhi ho. Chup chaap aunty se maafi maango.

Antara is looking at her with anger and venom filled eyes.
Person 1:- dekho toh kaise dekh rhi h ye iss ladki ko jaise kha hi jayegi.

Person 2:- bilkul bhi sharam nhi h iss ladki me. Itna tamasha ho rha h, aise nhi ki apni glti maan le.

Guddan:- mujhe iss tarah dekhne se kuch nhi hoga, samjhi. Guddan gupta naam h mera. Kisi se darti nhi hu me. Ab chup chaap aunty se maafi maango. Nhi to me abhi police ko call krti hu ki yha pr ek badtameez ladki kaise rash driving kar rhi thi, aur ek aunty ko kaise beijjat kar rhi thi. U know saamne wo mall dikh rha h na, police chahe toh CCTV footage bhi nikalwa sakti h, aur usme tumhare khilaaf saboot bhi mil jayenge. Aur agar aur bhi saboot h toh yha pr itna log h, koi na koi toh ise record kar hi raha hoga. Kal ko wo social media pr viral ho gya toh, tumhari hi bejjati honi h. Ab dekh lo, tumhe kya karna h. Abhi maafi maangke baat yhi khtm karni h ya fr ye log jo bhi video bana rhe h unse kahu ki wo social media pr daal de.

Person 3:- shi baat h. Aunty se maafi maango aur hum video social media pr nhi daalenge.

Antara turns towards that lady.
Antara(with attitude):- sorry.

Guddan:- ohh hello, ehsaan kar rhi ho aise sorry nhi bolna h. Hath jodkr, ankhein jhuka kar maafi maango. Glti tumhari h, inki nhi jo itni akad me sorry bol rhi ho.

Antara does as she says.
She folds her hand.
Antara:- i m sorry aunty.

Guddan:- ye hui na baat. Waise mujhe pta h tum pr inn sab baaton ka koi asar toh hua nhi hoga lekin tumhe sabak sikhaane ka ek tareeka h mere paas, jisse tum aisi glti krne se pehle 10 baar sochogi.

Antara looks at her with hatred.
Guddan:- aunty agar aapki permission ho toh me chahti hu ki ye ladki aapke face pr jo keechad isne udaaya h, use apne hathon se saaf kre.

That lady nods.
Antara is shocked.
Antara:- kya bakwas kar rhi ho. Maafi maang li na utna kaafi nhi h jo me ye sab bhi kru ab. Me aisa kuch nhi karne wali.

Person 1:- aise kaise nhi krogi. Karna padega.

Crowd:- haan haan, karna padega. Tum jaise badtameez bacchon ke liye ye hi shi h.

Will They Unite? (Completed) ✅Where stories live. Discover now