PART 26

252 20 26
                                    

Revati:- bhai..
But they are so engrossed in themselves that they didn't notice her.
Revati immediately closes the door and hurriedly goes to guddan and holds her.

Vikram left his hand.
Vikram:- i m sorry papa, mene iss tarah aapka hath pakda. Lekin bht ho gya papa. Bas. Itni der se chup hu iska mtlb ye nhi ki aap kuch bhi bol sakte ho meri behan ko. Ek baar apni aankhe khol kr dekho, dekho uski halat.
And indicates towards her.

Bhushan looks at guddan and then notice her condition.
Vikram:- kaise ro rhi h, kaise kaanp rhi h. Kiski wjh se, aapki wjh se. Aur ye kya itni der se bol rhe ho aap ki kyu mehnat nhi ki, kyu mehnat nhi ki. Arey aapne dekha bhi tha kya use. Nhi, nhi dekha tha. Lekin mene dekha tha use. Kaise din raat sirf aur sirf padai padai aur sirf padai. Padai ke alawa kuch aur sujhta bhi nhi tha use. Kahi bahar leke jana hota tha toh kitni mehnat krni padti thi use manane me. Arey iss saal toh usne apna b'day bhi nhi manaya. Sun rhe h aap, apna b'day. Jo ladki apne b'day ke ek mahine pehle hi excited ho jati thi ki iss baar b'day kaise celebrate krna h, usne apna b'day celebrate nhi kiya. Kyu, kyuki wo aap dono ka sapna pura krne me lagi thi, bawajood iske ki usko ye subject bilkul nhi pasand, wo subject jo use bilkul samjh nhi aata. Lekin fr bhi usne apni puri koshish ki. Kya kuch nhi kiya usne. Online classes li, institute ka time end hone ke baad doubt class ke liye rukti thi, har chapter do do baar solve krne ki koshish ki. Kitna kuch kiya. Lekin aapne kabhi uski mehnat ki taraf dekha hi nhi. Pta h kyu. Kyuki aap dono apne sapno me busy the. Robot bana diya tha guddan ko. 2 min bahar bhi aati thi toh aap kya bolte the beta andar jake padai kro. Aur wo chali bhi jati thi bina kuch bole, bina koi argument kiye. Lekin aapko wo nhi dikhta. Usne khana peena kam kar diya lekin aap dono ko iss baat ki bhi fikr nhi thi. Kya kehte the aap log ki pad rhi h, jab iccha hogi kha legi. Aur kehte ho ki jo iccha hui wo khane ko diya. Khane ko diya nhi aapne, sirf bankar rakh diya ki kha legi jab iccha kregi. Mtlb seriously. Usne apni puri mehnat ki h. Lekin agar uske ye subject samjh me nhi aate to usme iski kya glti h. Aisa to nhi na ki usne inn subjects ko samjhne ki koshish nhi ki. Ek baar apne sapno ko side me rakh kr uski taraf dekho. Ek saal pehle ki guddan aur abhi ki guddan. Kitna fark aa gya h usme. Aapne notice bhi kiya h kya? Pehle kitna hasti bolti thi, khush rehti thi, aur ab. Dekho uski taraf. Ab aapko uski aankhon me sirf khaalipan (emptiness) dikhayi dega, sirf dard dikhayi dega, ek ummeed dikhayi degi ki kabhi to aap log uske sur par pyaar se hath rakhkar bologe ki koi baat nhi beta, hota h, kabhi to aap log usse 2 min hi shi lekin pyaar se baat kroge. Arey agar use uske pasand ka subject mila hota toh shayad aaj kuch aur ho rha hota. Lekin aapko uski pasand na pasand ki padi hi kaha h. Ek min ruko aap.
And goes inside the room.

Guddan tries to stop him but Vikram doesn't listen to her.
He comes out with some papers.

Guddan:- bhai.. Kya kar rhe ho. Baat bad rhi h. Shaant ho jao na.

Vikram:- nhi guddan. Aaj nhi. Aaj bht ho gya. Ab Tu kuch nhi bolegi.

Guddan:- lekin bhai..

Revati:- guddan, bhai ko bolne de.

Guddan:- lekin revati..

Revati:- guddan, bhai jo bol rhe h, jo kar rhe h, wo shi h. Unhe karne de, jo wo kar rhe h.

Vikram(to his parents):- ye dekhiye. Ye h aapki beti ka talent. Kabhi bhi dekhne ki koshish ki aapne. Kabhi samjhne ki koshish ki aapne ki aapki beti kya chahti h. Dekho. Ye. Ye. Ye saare designs aapki beti ne banaye h. Aur wo bhi last year tak. Ab ye mat sochna ki guddan ne iss saal banaye h ye sab. Nhi, bilkul bhi nhi. Iss saal toh isne ek line tak nhi banayi design ke naam pr. Kyu. Kyuki wo kehti thi ki bhai mujhe mumma papa ka sapna pura krna h. Ek baar ye neet clear ho jaye aur mera acche se clg me admission ho jaye fr bana lenge ye sab. Iske liye toh puri jindagi padi h, lekin mumma papa ke sapne pure krne ke liye mere paas sirf ye ek saal h.

Will They Unite? (Completed) ✅Where stories live. Discover now