Note: I am no science student... And hence whatever I had put up is my imaginary world.... I see this Ram Priya as my very own... So a kind request to the readers to not think logical and just enjoy the reading any my Raya....
Main na kabhi chahoon
Doori yeh badh jaayegi
Saath rahein hum tum
Aur waqt yeh thehar jaaye
Meri tarah tum na aansoon bahate rehna....
Kabhi dil se jaana na
Kabhi dil se na jaana
Priya wrote these lines in her diary while thinking of Ram.... Today she had passed her first trimester....
She knew that her baby inside her is all fine but her own health was going to get affected.... Thanks to Neha's medications she could manage to keep her baby right and good....
She shed tears when she wrote those above lines....
Keeping her hand on her tummy , feeling the baby inside, she started to speak:
Main nahi jaanti tum kaun ho, ladka ho ya ladki, par mujhe itna pata hai ke tum mujhe sunn rahe ho....
Main janti hoon ke tumhe bhi ab pata chalne laga hai ke tumhari maa bas tab tak tumhare saath hai jab tak tum is duniya mein kadam nahi rakhte.... Tum aaoge aur mujhe jaana hoga....
Lekin rona mat, aur darna bhi mat kyunki tumhare papa hai na, woh tumse bahut bahut saara pyar karenge.... Tumhe pata hai unhe lagta hai ke mujhe pata nahi chalta jab woh tumhe mehsoos karte hai mere andar mere aur tumhare sone ke baad.... Lekin aisa hai nahi.... Mujhe sab pata hai... Aur tujhe bhi pata chal hi jaata hai na jab kabhi tere papa tujhe choote hai.... Aur fir tum mujhe batate ho apne ehsaas se ke dekho mumma, papa mujhse baat kar rahe hai....
Aur fir hum dono chupke se muskurate bhi hai.....
Tere papa ko tere aana ka besabri se Intezaar hai.... Aur tujhe bhi unse milne ka....mere bachche main bhale hi yeh na dekh paaon lekin tu jab aayega na toh apne papa ko dekhke muskura dena.... Apni aankhon se unhe bata dena ke ab tu hai unke saath....Apne papa ko na Bahut saara pyar karna...