Part 40

540 38 7
                                    

Hey everyone.... Hope U r having a great day and great week...❤❤❤
Well i am not... as i am not feeling well from past some days.... that's why not be able to post regularly or to reply any comment but i read them.... now i am little bit fine so without any further delay let's move to tge next update...... hope u guys are enjoying the story....❤❤❤❤❤❤😍😍😍😍😍😍😍



Ab shaadi me sirf ek haafta reh gaya hain, preparations pura complete ho gaya hain, baki sab log bhi aa gaye hain ab ghar lag raha hain pura shaadiwala, everyone is busy with their allotted work, ek taraf jahan Priya, Neha aur Natasha milke decorations dekh rahe hain toh dusri taraf Kajal, Rajni, Jyoti aur Priya kitchen me kaam kar rahe hain, Ram catering dekh raha hain toh Vikram aur Karthik guests ko attend karne me lage hain, Rishabh bhi inn dono ke saath hi hain bas sirf Saumya ko koi kuch karne nahi de raha hain aur iss baat se woh bohot embarrass feel kar rahi hain, usse yun chupchap achha nahi lag raha hain toh mauka milte hi woh either kitchen chali aati hain yah phir kabhi decorations karne ke bahane Neha aur Nuts ko join karti hain, ya phir bachhon ke saath khelti hain, unn logon ko company deti hain, ab bachhen bhi sab Saumya aunty se attached ho gaye hain, aur inn sab ke saath Shree bhi hain. Dadi aur Krishnaji baaki mehmaano ka khayal rakhh rahe hain specially Saumya ke parents ka, kahin unn logon koi pareshaani toh nahi ho rahi hain, unn logon kuch chhahiye toh nahi hala ki Ram ne sab arrangements kar diya hain.

Raat ka dinner shamiyane ke neeche hi hota hain and everyone enjoys that, jab ghar ke bahu, betiyaan khana banati hain toh uska alag hi swad hota hain, hala ki yahan bhi Bnsi aur Gopal kaka hain par Ram ka yeh strict farmayish hain Priya ke liye ki kuch ek dish woh roz banayegi uske liye, ab sirf Ram ke liye banana toh mushkil hain sabke samne toh Priya ko sab ke liye hi banana parta hain, actually Ram ko buri adat lag gayi hain, jab tak woh Priya ke haath ka khana nahi khata hain uska dil nahi bharta, toh aaj Priya ne sabke liye sweet dish banayi hain, jab Priya kitchen me bana rahi thi sweet dish tab wahan uske saath Neha thi, hota yun hain ki,

Neha - kya roz roz tum kuch banati rehti ho yaar, manti hoon tumhe achha lagta hain par har roz??????????????

Priya - koi baat nahi Neha, mujhe waise bhi achha lagta hain.

Neha - but u look so pale, tabiyaat toh theek hain na, waise itna bhag daud kar rahi ho, thoda aram toh kar leti aaj...

Priya - areee nahi yaar, main theek hoon, tum meri fikr mat karo.

Neha smiled and asked, fatty raat ko sone nahi de raha hain kya?

Priya blushed hearing this, sach hi toh hain, Mr. Kapoor sone kahan dete hain, puri raat toh ek dusre me khoye rehte hain yeh dono, subah badi mushkil se aankh khulti hain, Priya said, aisi baat nahi hain Neha, main bas woh but couldn't continue and keep concentrating on her dish.

Neha - haan haan main samajhti hoon Priya, hum bhi kabhi iss daud se guzar chuke hain, Vikram bhi aisa hi tha, but Priya am so happy for both of you, wakei me fatty bohot lucky hain jo usse tum mili ho, waise lagta hain humara Golu ab Golu nahi raha, saying this she laughed heartily and Priya also joined her.

Ab sab dinner pe beyth ke baatein kar rahe the, maaze kar rahe the, sab ne Priya ki sweet dish ki taarif ki. Ram, Priya, Vikram aur Neha ek jagah beyth ke khaa rahe the, toh tabhi Ram ne kahan,

Ram - arrreee Priya mujhe thoda aur Shreekhand chahiye

Priya gave Ram the second helping, while Vikram looked at him and said, ab bas bhi kar yaar aur kitna meetha khayega?

Ram - tu janta hain Vikram, meetha mera weakness hain, main nahi chhor sakta isse.

Vikram - Priya tum keheti kyun nahi isse kuch, itna meetha iske liye achha nahi hain.

Second Chance ( Thread 2 ) Where stories live. Discover now