Bday Celebration Part 3

179 5 0
                                    

Shayra aur Noor chale gaye. Chale gaye bolna galat hoga, "Bhag gaye"! atleast Taazko weisa hi lagraha tha.

- Accha Bhaisaab baad mein milta hoon haan! bye…

- Oye Ruk! kaha ja raha hai?

- A… woh… room…room mein ja raha hoon. fresh hona hai...

- ek ghante pehlei toh fresh hoke aya hai na ? abh phirse ?

- Eisa kya! ek ghante pehle mein fresh hoke aya tha ? bhul gaya sorry !

- kuch hua hain/ ya hone wala hai kya ?

- N…n…nahi toh!

-Aylaan… he looked at him.

- Eise na mujhe tum dekho, sabkuch ugal doonga…😝 Aylaan Stared singing.

- Shut up ! bakwas baand kar aur saaf saaf bol hua kya hai.

- Bhaisaab woh…

- Tu mujhe gussa dilana chahta hai ?

- Nahi Nahi!

- good. bol…

- Ammi Apke birthday party celebration karrahi hai. unhone ek chotasa party bhi organise kiya hai. bass itnahi pata hai mujhe.

- What! Ammi ko meine bataya tha mujhe koi party celebration nahi chahiye phir bhi unho ne ye saabh kyu kiya. Mujhe Ammi se milna hoga. abhi isi wakt.

Taaz Raiya k kamre ki taraf jata hai. woh behaad gusse mein hai. par aylaan ko pata hai Ammi k saamne unka gussa kaam nahi karega.

Raziya k Kamre mein...

- Ammi, Kya hum aandar aasakte hai ?

- hmm… ayiye Taaz.

- Ammi, ye saab kya hai ? humne aapko bataya tha na? phir vi aapne…

- Khare maat rahiye, baithiye.

Taaz Raziya k saamne baithti hai. Raziya Taazke haath ko aapne haath mein leti hai.

- Ammi, Hume koi Birthday party nahi chahiye. koi celebration nahi chahiye. bass aaj hume akela chor dijiye. please.…

- Thik hai, hum aapki baat man lenge. par aapko iski wajah bata na hoga. 20 saal se aapne apki ek bhi birthday celebrate nahi ki. kyu ? aap ek Nawab hai beta. aapko yesaab shobha nahi deta.

- sorry Ammi parr hume yesaab pasand nahi.

- ye toh koi wajah nahi hua...

- hume nahi pata wajah kya hai… bass hume pasand nahi hai… itnahi.

- hum bata te hai wajah… 20 saal pehle issi din mein aapke abbu hume aur aap teeno bhai ko chor k dusree shaadi karke chale gaye they. aur issliye aap iss din ko unlucky maante hai. paar beta aapke Abbu ne hume chora tha toh  issmein aapki ya iss din ki kya galati hai ? Aapke baat k mutabik aapke Abbu k jaane k baad toh phir hume bhi jeena chor dena chahiye tha na ? parr humne eisa kyu nahi kiya ? kyu ki taab aap humare saath they. humbhi shayad ek kone padhe rehte aapsaabko lekar. ya phir baaki saab "chori hui" aurto ki tarah hum bhi shayad Atmahatya karlete…

-Ammi! kya bol rahe aap ye saab ?

- Nahi Taaz, aap aaj hume nahi rokenge. toh hum kaha they…haan, atmahatya… kyu nahi ki humne ? kyuki taab aapne hume hosla diya. aage badhne ki himmat di. isliye hum aaj bhopal ki bahu begum hai... lekin humein bohot dukh ho rahi hai ki jisbetey ne hume hosla diya, aaj wahi beta kitna baadal chuka hai! unme himmat ki itni kaami hai… !

- Ammi eisa nahi hai… hum bass …

- Taaz hume jo bolna tha humne bol diya. aap fesla aapke hatho hai. Aaap apne kamre mein jayiye, sochiye aur phir hume jawab dijiye. tabbhi aagar aap naa bolenge toh hum turant party cancel kar denge.

- Ji Ammi.…

………

kitchen mein…

Mashuka aur dilruba plate saaf kar rahe hai. mashuka bohot tensed hai. dilruba usse puchta hai…

- Ei… tujhe kya hua?

- kuch nahi. hum bass soch rahe hain ki agar TaazSahab ne Party mein ane se mana kardiya toh ?

- Toh ?

- Arre buddhu toh humari begumsaheeba ka kitna beizzati hoga employees k saamne. aur…

- unhe dukh bhi hoga na…

- haan... unhe bohot dukh hoga.

- lekin tu dekhlena TaazSahab zarur party me ayenge. kyuki woh Begumsaheba se bohot jyada pyar karte hain.

- Allah kare eisahi ho…

- hmm…

Taaz k kamre mein…

Noor aur Shayra Taaz ko Party k liye Raziya k bheje hue Kapre dene atey hain... Room me ghuste hi woh dekhte hai woh Bistar pe chup chap beithe hai aur kuch soch rahe hai.

- Hum aandar Aye TaazSahab ?

Taaz chaunk jate hai....

- Haan! ao.

Noor aur Shayra aandar atey hain aur Taaz k haatho woh suit pakra detey hai.

- Badi Ammi ne bheja hai. Bola hai ki aagar aapna maan banjaye toh ye pehenke niche ajaiye ga. weise mehman ana shuru hogaya.

- itni jaldi ?

- hmm…

- Haan thik hai tum log ja sakte ho.

Noor aur Shayra Room se nikaljate hai. Achanak Noor Shayra se bolti hai…

- Shayra ek minute.

- kya hua Noor ?

- humein Taaz Sahab ko kuch bolna hai.

- Nahi Noor. Abhi nahi. unnka mood dekha hain aapne ? kuch bhi bolenge toh gussa ho jayenge…

- I don't care !

- Noor Rukiye ! Shayra Noor ko Rok ne ki koshis karti hai but bohot derr ho chuki hai. Noor already roomke Andar jachuki hai… Sahayra bhi room mein jati hai.

undono ko phir se room mein aate hue dekh Taaz chaunk jata hain.

- Kya hua ? aaplog phirse ?

Noor usse dekhti hai. Noor samajh nahi aata woh keise shuruat kare. Darr bhi lagraha hai. Upar wale ka naam leke bol hi diya…

- TaazSahab, Aap jo kar rahe hai wo Sahi nahi hai.…!

Taaz uski baato se shocked ho gaya !

- aap kya bol rahi hai noor ? Taaz ne Noor se poocha.

( continue...)


𝓑𝓪𝓱𝓾𝓑𝓮𝓰𝓾𝓶Where stories live. Discover now