Love is in the Air ! 9

174 6 0
                                    

Noor kisi bhi tarah khudko Azaan k bahose churati hai aur wahase bhag jaati hain. Azaan chupchap apnehi room mein khade rehtey hain. Noor bhagke apne kamre mein chali jati hain. kamre mein ghuste hi woh apni ammi ko rote huye dekh leti hain. woh panic mein ajati hain. aur Ammi (Meenu) k pass jati hain....

Noor - Ammi, kya hua? aap yahan akele beith k ro kyun rahe hain ? kisine kuch kaha kya aapse ? Oh! Suraiya chacchi nehi kuch kaha hoga! hum abhi atey hain!

Meenu jaldise Noor ka haath pakar leti hain.

Meenu - Rukiye! kisine humein kuch nahi kaha. hum aapke wajahse ro rahe hain.

Noor daar jati hain. ussey lagta hain, shayad Meenu ussey aur Azaan ko dekh liya. woh explain karne ki koushish karte hain...

Noor - Ammi, issme humari koi galti nahi...woh toh Azaan humein bolrahatha ki...

Meenu ka rona band ho jata hain. woh Noor k taraf dekhti hain...

Meenu - Azaan ne kya ?

Noor - Aaap ne jo dekha Ammi, ussme humari koyi galti nahi thi...

Meenu : humne kya dekha ?

Noor thoda darr jati hain.

Noor - kis barein mein baat kar rahi hain aap ?

Meenu - Aaapki shaadi k baremein!

Noor - Oh Accha! hum toh soch rahe they ki...

Meenu - kya ?

Noor - Kuch nahi. aap bataiye, shaadi k barein mein soch k itna kyun ro rahe they aap ?

Noor chalaki se topic change kar deti hain!

Meenu - Shayra aapse choti hain phir bhi usski nikah tay ho chuki hain. aur aap abhi tak !

Noor - Aaap Shayra aur humpe Farak kar rahe hain!

Meenu - Nahi! aap aur shayra humarey liye ek saman hain. parr aapki umaar nikli jarahi hain.lekin aap hain ki shaadi k liye raji nahi hain...

Noor ko achanak Azaan ki baatey yaad aati hain. woh sochti hain ki agar usski nikah kisi aur k saath taye ho jaye toh shayad Azaan Shayra se nikah karlega!

Noor -hum raji hai!

Meenu - k-kya ?

Noor- hum nikah k liye Raazi hain!

Meenu - Allah ka lakh lakh Shukriya!
Meenu Noor ko gale laga leti hain aur rone lagjati hain.

Raziya k room...

Meenu - Begumsaheeba, hum andar aye ?

Raziya - Arey Meenu! ao. kya baat hain ? aaj humari behen bohot khush lagrahi hain ?

Meenu - Haan begumsaheeba. Noor Nikah k liye Razi ho gayi.

Raziya - Alhumdulillah! keisey hua ye chamatkar ?

Meenu - pata nahi. lekin woh Azaan baba k barein mein kuch bol rahi thi. shayad unhone manaya hoga!

Raziya - badi khushi ki baat hain. toh, Noor ki Ammijan ka toh aab bohot kaam hain... Noor k liye ladka jo dhundna hoga!

Meenu hasti hain.

Meenu - haan. so toh hain! aap ye tasvire leke kya kar rahi hain ?

Raziya - Maat puchu! ye tasvirey Taaz k kamre mein bheja tha! unhone 2 chorke baaki saab reject kardiya!!

Meenu - koyi baat nahi do toh chunliya! unmese ek toh select kar hi lenge !

Raziya - Nahi! unn do ney unhe reject kardiya!

Meenu - kya ? lekin kyun ?

Raziya - Taaz k rough behaviour k karan. saab unse khauf khatey hai! pata nahi iss ladke ki nikah hum keisey karayenge!

Meenu - Sach mein, Nikah k liye kitna kuch karna padta hain! pehle Razi karwao, phir rishtey dhoondo, phir rishta accha na nikley toh baccho se daant khao. Pata nahi Noor k liye hum kahase rishta dhoondenge! aap ko toh pata hain na woh !

Raziya - Ek minute! tumne kya bola abhi abhi ?

Meenu - kaha ?

Raziya - Ohho...! choro! tum Noor k liye Ladka dhoond rahe ho?

Meenu - Haan...

Raziya - Aur mein aapne Taaz liye ladki dhoondrahi hoon! toh hum dono Taaz aur Noor ka Nikah kardey toh keisa rahega ?

Meenu chaunk jati hain. ussney kabhi sapne mein bhi Taaz aur Noor k shaadi k barein mein nahi socha. Raziya ussey bhalehi behen maanti hain parr woh khudko Begummahal ka ek naukar hi maanta hain. Aur Naukar Malik ka rishta kabhi nahi ho sakta. woh Raziya se bolti hain.

Meenu - TaazSahaab aur Noor! nahi begum saheeba, Taaz baba keise ek naukar se shaadi...

Raziya - Meenu! tum naukar nahi ho! tum meri behen ho aur Taaz ki "Meenu Khala". aur Khala ki beti se nikah karna jayaz hain.

Meenu - parr Taazbaba...

Raziya - usska chinta tum mujhpe chor do. tum srif apne bare mein bolo. tum raji ho ?

Meenu - umm...haan...

Raziya - bass! kal subha hum nikah ki Ahlaan karenge.

Meenu - Ek baar Taazbaba se puchletey toh shayad accha hota!

Raziya - uski koyi zaroorat nahi Meenu. Taaz Noor ko chahte hain!!!!!!!

Meenu chaunk jaati hain. Taaz Noor se mohobbat kartey hain ! ye sunke woh khare ho jatey hain!

Meenu - Kyaaa !

Raziya Meenu ki taraf ek diary pass karti hain.

Raziya - iski last ki kuch panne padho!

Meenu Diary kholti hain. Diary Taaz ki thi. last k kuch panne kholte hi ussey Taaz ki "Dil ki baatein" dikhai deti hain.

7th Octobar 2019

Woh pagal hain. usski har chalmein kuch toh hain. woh jaab bolti hain to eisa lagta hain ki koyi kabi apni kabita bolrahi hain. kuch toh jaadu hain ussme!

dusri panne...

8th Octobar 2019

Khule baal mujhe srif Ammi ki pasand tha. mujhe abhi bhi yaad hain. jaab mein chota tha toh aksar Ammi Khule balo mein chadpein jati thi. mein bhi usskey pichey pichey jata tha. Ammi ki balo ki khushbu mujhe bohot pasand tha...hain... lekin aabh srif Ammi ki nahi usski bhi khule baal humein bohot pasand hai! Bohot ...

10 october 2019

Bohot bolti hain. Kabhi kabhi mein khud pareshaan ho jata hoon usskey baak baak se! koyi itna keise bol sakta hain ?... Yaa Khuda, koyi isska "Stop" button nikalo!!

11 Oct 2019

Ammi ne Kaha ki mujhme koyi baadlaw araha hain!

Saach mein kya ? Shayad haan! lekin jo badlaw araha hain ye uski wajah se hain!

Anjane mein hi Saahi woh mujhe Control kar rahi hain. Saabkuch ulat phulat ho chuki hain.

"TaazSahaab" Bhopal jisse khauf khatey hain woh ek ladki k haton "ghayal" ho gaya!

lekin mein keise batau ki mein usske liye kya mehsoos karta hoon ? keise bataun ki jab woh aas pass rehti hain toh bohot accha lagta hain. aur jaab woh dur jati hain toh kuch bhi accha nahi lagta! ek ajeebsa becheni chayi hain dil mein! kya karu kya na karu...

Mein jo feel karrahi hoon woh shayad woh kabhi nahi samjhegi! kyunki woh Jhalli hain!

Jhalli Noor !

phir bhi Mein ussey pyar karta hoon. I love her !

(Next part coming soon...)

𝓑𝓪𝓱𝓾𝓑𝓮𝓰𝓾𝓶Where stories live. Discover now