Love or Sacrifice (P-13)

155 4 0
                                    

Taaz - kya? khalid? eisa kaise ho sakta hain Shams? khalid toh dubai mein hain. wahan business kar raha hain!

Shams - Nahi Sir! Khalid Mirza yahi Bhopal mein hain. aur woh koi business nahi kar raha hain. woh yaha apne kisi dost k ghar thehra hua hain aur…

Taaz - Aur ? Aur kya Shams?

Shams - aur… woh pehle jo karte they abh bhi wohi kar rahe hain.…ussey kuch logone night club jatey hue bhi dekha hain…aur ek baat hain sir,

Taaz - Wah! abhi bhi kuch bacha hain kehneko! boliye!

Shams - Sir, Khalid Mirza aur bhi kuch business man se paise lene ki baat chala rakha hain, aur woh bhi aapke naamse. recently unhone jin jin logose paise lene ki baat ki maine saabko ittilah kar diya. aur apne saare clints ko bhi mana kar diya. abh woh kisi se bhi ap ke naamse paise nahi le saakte.

Taaz - Good job Shams! Very Good job. bohot accha kaam kiya hain aapne.

Shams - Thank you Sir. but unlogo ka kya? jinlogose unhone pehle paise liye ?

Taaz - Don't worry! unnlogoko hum dekh lenge. Apne bohot kuch kiya hain Shams. Thank you. Abh baaki mujhpe chor dijiye.

Taaz Accounts sheets ko dekhta hain.

Taaz - itna bada dhoka…CA Sahab bohot mehenga padhega ye dhoka aapko! Shams, jara humarey CA Sahab ko kal yaha aneko boliyega! unse baat karna hain.

Shams - Ok Sir. Kya mein abh jasaakti hoon, Sir ?

Taaz - Yaah! jaiye.

Shams chale jate hain. Kuch derr baad Raziya Taaz room mein aati hain. Taaz usse saabkuch batatey hain. Saab sunke Raziya ko beyhad gussa ati hain. woh Asgar aur Suraiya se iss bare mein baat karna chahti hain but Taaz rok leta hain…

Taaz - Ammi, cool down! unhe agar aapne abhi kuch bola toh Khalid ya humarey CA alert ho jayega! issbaatko humein handle karne dijiye aur aap aram kijiye…

Raziya - Lekin Taaz…

Taaz - Yakin kijiye Ammi. hum kaal saabkuch thik kardenge! Yakin hain na humpe?

Taaz ki baato se Raziya smile karti hain aur Taaz k Saar pe haath rakhti hain.

Raziya - Khudse bhi jyada…

Taaz - Toh buss, Kamre mein jaake Araam kijiye! hum hain yaha pe…

Taaz Raziya k haath pe kiss karta hain aur kuch derr baad Raziya chali jaati hain. Raziya k jane k baad Taaz kuch phone calls karta hain.…phone calls khatam hone k baad woh files cabinet pe rakh k bed so jata hain.

Taaz - Sorry Khalid, Agar aap Sahi Raastey pe chaltey toh hum aapke saath kabhi ye nahi kartey! parr kya karen aapko toh Galat Rastey hi acchey lagtey hain.…

Taaz apni roomki lights off kar deta hain…

Agle din Subha…!

Sabh Nashta kar rahe hain. Achanak Mashooka ati hain…

Mashooka - Taaz Sahab, Mr. Rahman aya hain.Kehraha hain ki aapne milneko bulaya tha…

Taaz - hmm… unhe upar humarey kamre mein le jaiye. hum arahe hain…

Mashooka - Jee…

Mashooka chalijati hain. Taaz Raziya k taraf dekhta hain.koyi bhi khana khatam kiye bina table se uthey ye unhe pasand nahi hain. Taaz ye acchi tarah se jaanta hain.

Taaz - Ammi, hum jantey hain aapko ye bilkul bhi pasand nahi hain. parr bohot jaruri kaam hain issliye jana hoga…Please…

Raziya - Thik hain Taaz, but srif ajke liye. aglibaar hum ye bilkul bhi bardaasht nahi karenge…thik hain ?

Taaz - Jo hukum… aa… Noor!

Noor - Ji!!

Taaz - kya aap humara Khana humare kamre mein pohcha dengi ?

Noor - Hum? haan, thik hain!

Taaz - Thank You!

Taaz chalajata hain. Noor Taaz ke liye plate pe bread leti hain.

Suraiya - ( to Asgar ) Khalid K Abbu, Taaz ko eisa konsa jaruri kaam hain jo woh khana chor k chala gaya!

Asgar - Hum taaz k PA nahi hain jo aap humse ye puch rahi hain. hume kya maloom!

Suraiya - Jhoot bolu toh kauwa khaun! humein kuch thik nahi lagraha hain…

Asgar - Apke "laadley" ne kaam hi eisa kiya hain. Taaz ko pata chala toh woh humsaabko Tabah kar dega!

Suraiya - Ek toh humara dil ghabra raha hain aur uparse aapke ye Ashubh Apshaguni Baat! lijiye, Bread thusiye aap!

-----

Taaz ke kaamre mein…

Mirza Group of Industry k CA Mr. Rahman Taaz k saamne baitha hain. Taaz k kaamre mein bohot teez AC chal raha hain, phir bhi woh kuch derr baad Rumaalse pasina ponch raha hai… Taaz woh Notice karta hain. Taaz isswakt bohot thande dimag mein hain. Aur issi wajahse Mr. Rahman aur bhi jyada dare hue hain. kyunki Taaz tabhi shaant rehta hain jaab woh kuch bada karta hain. kuch bohot bada, aur bohot khatarnak!. pichli baar uske PA (EX PA!)  Miss Malini ko naukri se nikaltey wakt bhi eise hi shaant tha! pata nahi aaj kya karega!

Taaz - Mr. Rahman, apko bohot jyada pasina araha hain. AC aur bhi teez kardu ?

Mr. Rahman - N-N- Nahi Sir. it's ok. aapney kyun bulaya tha, woh mujhe kuch kaan tha t-toh jaldi jaana hoga …

Taaz - No Problem. Aaj aap bohot jaaldi hi jayenge. bass kuch papers dikhani tha apko. dekhiye aur chale jaiye…!

Mr. Rahman - Papers, konse papers Sir?

Taaz - ye… ( Taaz, Rahmanko Annual Accounts sheets deta hain.)

Mr.Rahman Taaz k haath se papers leta hain. "Asli" Accounts Sheets dekh k woh thora ghabra jata hain, kyunki aabtak woh Taaz ko "Jaali" Papers dikhata tha.

Mr.Rahman - S-S-S-Sir, Ye toh…

Taaz - Annual Accounts Report hain, woh bhi Asli wali! hain na? Toh Mr. Rahman, isske bare mein aapka kya kehna hain ?

Mr. Rahma - Sir woh… woh sir…

Taaz - Kya hua Mr. Rahman? bolti kyun baand ho gayi aapki?

Mr. Rahman chup ho jatey hain.

Taaz - AAR mein 10 lakh gayab hain. kisiney humare company se 10 lakh withdrew ki hain. par kon ye nahi likga hain. kya aap bata saktey hain kisne kiya ye ?

Mr. Rahman aapna pasina ponch leta hain aur saabkuch Sach Sach bataney ka faisla leta hain.

Mr.Rahman - Sir, woh khalid mirza ne company se 10 lakh withdrew kiya tha.
aur unho ne humey… dhamki di…

Taaz - Jhoot bolrahey hain aap…! Dhamki nahi Rishwat di thi unhone. 2lakh ki Rishwat!

Mr. Rahman Chaunk jata hain.

Mr. Rahman- Sir aapko kaise pata ?

(next)














𝓑𝓪𝓱𝓾𝓑𝓮𝓰𝓾𝓶Where stories live. Discover now