B'Day part 5

137 7 1
                                    

ShaNawaab k baato ka Ghazala k pass koi jawab nahi tha. par woh apne betey ko jane nahi dena chahti thi.Aur woh Raziya ko bhi kuch khass pasand nahi karti thi… but Raziya ko ShaNawaab bohot pasand karte they. woh usse apni bahu ki tarah nahi beti ki tarah treat karte they. issliye Ashfaque ko unhone ghar aur jaydat se bedakhal karne ka fesla liya. Ashfaque apne Abbu k fesle se darr gaya. parr usne ek akhri koushish ki…

Ashfaque - Abbu, Delnaz humare bacche ki Ammi banne wale hai.

ShaNawab - humein isse koi faraq nahi padhta. tumhe jana hoga. tumne jo gunah kiya usska koi muafi nahi hai. Aajse tumhare saath iss begum mahel ki kisibhi insaan k saath koi rishta nahi hai. Alvidaa !

Ghazala - Nawab saab! aap eisa nahi karsakte.. humare betey aur bahu ko aap humse door nahi bhej sakte!

Taaz was shocked!

Taaz - Daadijaan ! aap keise inhe (Delnaz ko) aapni bahu bolsakti hai ? inhone jo kiya hai…

Ghazala - kya kiya inhone ? Mohabbat kiya hai! mohabbat karna gunah hai kya ?

Raziya - Nahi Ammi, Mohobbat karna koi gunah ka kaam nahi hai. lekin ek shadishuda mard se mohobbat karna, ye gunah hai ! aur aapke betey aur nayi bahu ne mohobbat nahi gunah kiya hai. aab tak hum chup they. lekin aabh nahi Ammi. Aap ke betey ko agar mohobbat hi karna tha toh humse nikah kyun kiya ?

Ghazala - Tujhse nikah humare betey ki razamandi se nahi hui !

Raziya - Accha! toh ye unhe kaab maaloom hua teen teen betey honey k baad !

Ghazala chup ho jati hai.

Raziya - kya hua? bataiye na Ammi unhe teen betey hone k baad eisa kya hua jo unhe maloom hua ke woh humse pyaar nahi karte? nikah mein unke Razamandi nahi thi ?

Raziya rone lagjati hai. Delnaz aur Ashfaque apna saar jhuka k khare rehte hai. ShaNawaab Raziya k saar pe haath rakhta hai.

ShaNawaab - Beti, Shaant ho jaiye…hum abhitak zindaa hai. aur humarein hotey hue aapko koi taklif nahi hone denge.

Azaan - Aapne eisa kyu kiya Abbu ? hum saabki zindegi kharab kyu ki ? kya ye saab karte hue aapko ek baarbhi humsaabka… Aylaan ka khayal bhi nahi aya ? woh abhi bacche hai. zaroori tha yesaab karna ?

Taaz - Azaan, agar ye humare baare mein itna sochte toh shayaad dusri nikah na kar patey! humein toh sharm aa rahi hai aapko Baap boltey hue!

Ghazala - Chup kar badtameez! aapne baap se koi eise baat karta hai ? Maa ne koi tameez nahi sikhaya kya ?

Taaz - Tameez ! iss word ka matlaab bhi pata hai aapko ? kabhi aapne sikhaya aapne betey ko tameez ? agar sikhaya hota toh ye saabh shayad nahi hota !

Ghazala Taaz Thappad marne k liye haath uthati hai ! lekin en moke pein ShaNawaab unka haath pakar letey hai.

ShaNawaab - BASS! bohot hua.

Ghazala - Nawaab saab !

ShaNawaab - Bohut hua aapka. toh yeh hai aapke asli rang! jaiye hum aapko aapke betey se alag nahi karenge.

Both Taaz aur Azaan shocked! Ghazala khush ho jati hai. paar aglehi paal unki khushi gayab ho jati hai.

ShaNawaab - Haan begum saheba! aapbhi aapne betey k saath iss gharse, jaydaat se, aur humari Zindegise humesha humesha jaa rahi hain ! Begam mahalko aur bhopal ko aap jeisey logo ki zarurat nahi hai. Nikal Jaiye!!! Abhi j Abhi!!!!
Meenu inka samaan bahar nikalo!

Ghazala aapne betey aur bahu (delnaz) k haath pakarti hai. jaane se pehle woh Raziya k taraf Nafrat bhari aankhose dekhti hai!

Ghazala - Bohut khush hai na tu, humein gharse nikal k ? lekin ye khushi zyada din ki nahi hai. Hum wapas zaroor ayenge ! aur uss din teri aakhri din hogi ! ye mera wada hai tujhse!

Taaz - Aur aaj humbhi ek wadah karte hai… Aaajse balki aabhise hum Falaq Taaz Mirza, Raziya Akhter Mirza k bade betey unhe aur humari do bhaio ko humesha protect karenge. Chahe koi bhi aandhi kiyun na aye, koi bhi tufaan aye hum humari family aur begum mahal k Dhaal baanke khare honge ! kuch nahi hone denge kisiko !

Ghazala, Ashfaque aur Delnaz k saath gharse chali jaati hai…

Flashback End…

Meenu k aankho mein aansu aajate hai.

Meenu - Taabse lekar aajtak Taaz kabhi bhi koi khushiya nahi manatein. weise toh pura bhopal unke keher se darrta hai. unnke ek awaaz se bhopal tehesnehes ho saakta hai. parr sach toh ye hai ki woh aandar se bohot toote hue hai. parr aapna dukh kisise baat nahi saakte.!

Meenu Noor aur Shayra k taraf dekhtey hai. both Shayra aur Noor k aankhose aansu behrahe hai.

Noor - humne garbar kardiya. humein unse eise baat nahi karna chahiye tha.

Shayra - koi baat nahi Noor, aapko aapki galti ka ehsaas ho gaya yehi bohot hai. unka gussa shaant hone k baad aap unnse maafi maanglena.

Noor sad ho jati hai. Shayra Noor k room se nikal jaati hai. woh Taaz k kamre mein jaati hai. Taaz aapne kamre mein chup chap beithey hai.

Shayra - Kya hum aandar aa sakte hai ?

Taaz - hmm…

Shayra - hum jante hai aap gussa hai. Noor ko maaf kardijiye ! unka matlab aapko theys pohchana nahi tha.…

Taaz - Lekin woh sach they Shayra !

Shayra shocked !

Shayra - Kya ?

Taaz - haan Shayra, woh saach bolrahe they. jo humari zindegi mein exiset hi nahi karte, uske liye hum kyu humari aur Ammi ki khushi barbaad karein !

Shayara - Aaap kya bol rahe hain mujhe…

Shayra dilemma main par jati hai. Taaz khare ho jatey hain. Raziya ka diya hua suit haath mein letey hue Shayra k taraf dekhti hai.

Taaz - Aaap jayiye, Ammi ko boliye hum 5 minute mein nichey aarahe hai!

Shayra - Kya aap serious hai ?

Taaz - (smilingly) Haan Shayra ! aab aap jaiye humein change karna hai…

Shayra khush ho jati hai… woh Noor k kamre mein jake Noor ka haath pakar k Raziya k kamre k taraf bhagti hui jaati hai,

Noor - Shayraaa… hua kya hai ?

Shayra- batayenge… thodi derr baad aapko bata denge !

(Next part will be coming soon…)

𝓑𝓪𝓱𝓾𝓑𝓮𝓰𝓾𝓶Where stories live. Discover now