Love or Sacrifice! (p-15)

164 3 0
                                    

Suraiya- Par tumhein eisa karneka koyi haqq nahi hai!

Taaz - Awaz nichey karke baat kijiye ChachiAmmi! aur haan, "haqq" ki baat kar rahe hain aap? "haqq" ? Apke betey ko bhi koyi haqq nahi thi humarey naamse humarehi trusted client se paise udhar leneki. woh bhi 15 karor! humney bass wohi kiya jo unhone humarey saath kiya! "Tit for Tat"!
Abh aap dono kamre se ja sakti hain. humein thoda rest karna hain!

Asgar - Taaz, ye tumne…

Taaz - GET LOST!!!!!

Asgar aur Suraiya Kamre se nikaljati hain.

Asgar aur Suraiya k kamre mein…

Suraiya - Taazne ye accha nahi kiya !
Asgar - Abh bolke bhi kya fayda? Jo hona tha woh ho chuka hain!

Suraiya - Huh! aur aapne ye maan bhi liya hain! kitney darrpok hain aap! Taaz k thodasa chillaney se hi aap daar gaye!

Asgar - Jo kuch bhi hua woh aapkey "Nalayak" Betey k karan hua!

Suraiya - Bakwaas baand kijiye! agar aapke bhatije ne usse gharse na nikala hota na, toh eisa bilkul bhi nahi hota!
Mera baccha! pata nahi kis hal mein hain. Apke gharwalo ne toh usska jeena haram kar diya! abh gharse itni door hain toh paise ki jaroorat toh hogi hi na?

Asgar - Toh Taaz k naam pe lene ki kya jaroorat tha?

Suraiya - Aapki toh koyi aukat hai hi nahi ki aapke naampe paise udhar le… issliye Shayad…

Asgar - Suraiya, Mu sambhal k baat kijiye!

Suraiya - Kiyu? lagi nah ? huh! saach baat aise hi chubti hain. aajtak issghar mein humarey aur humarey betey k saath jo kuch bhi hua hain woh aapke wajah se hua hain. humne bolatha Abbujaan se jaydaat ka hissa manglijiye! lekin aapke toh unke saamne jaatehi "ghutne" kaanp ne laag jati hain! Aur aapke karan saab jayedaat Badi Bhaabi aur unke baccho ko milgayi. aur humein jo bhi mila usspe bhi woh kabja maar k baitha hain!

Asgar - Humne koushish ki thi Suraiya!

Suraiya - Koushish? khak koushish kithi aapne! parr jo hua so hua. lekin aabse eisa kuch nahi hoga…

Asgar - Suraiya, please, already Khalid ne humein bohot mussibaat mein daal diya. abh aap eisa kuch maat kijiye…

Suraiya - chinta maat kijiye, aabh humarey haatho se kuch nahi jayega!
Abh agar koyi kuch khoyega toh woh Taaz khoyega! hum usski zindegi "Jahannum" se bhi battar bana denge. unkey zindegi mein itne dukh k raang bhar dengey ki unhe saaf karte karte unki puri zindegi beeth jayegi. Aur ussey dukhi hotey dekh Raziya Begum bhi dukhi hojayegi!

Asgar - Karney kyawale hain aap ?

Suraiya - Bohot Naaz hain na Raziya Begum ko aapney beto pein ? unki "ekta" pe ? Toh bass wohi naaz hum todh denge! bhaiyo mein jhagra karwa denge!

Asgar - (curiously) kaise ?

Suraiya - Bass dekhte jaiye !

Taaz k kamre mein…

Raziya - Kya hum andaar aasaktey hain ?

Taaz - (Smile kartey hue) Haan Ammi ayiye!

Raziya andaar ati hain aur Taaz k saamnewali chair pe beithti hain.

Raziya - Humne saabkuch suna Taaz… CA aur Khalid k bare mein!

Taaz - Accha hua aapko pata chalgaya!…Ammi…

Raziya - Boliye Taaz,

Taaz - Kya humne jo kuch bhi kiya woh saahi tha ?

Raziya - haan sahi tha. CA ko sazah milni chahiye thi.

𝓑𝓪𝓱𝓾𝓑𝓮𝓰𝓾𝓶Where stories live. Discover now