Love aur Sacrifice! (P-14)

164 4 0
                                    

Mr. Rahman ko bohot pasina araha hain. Usse laga tha Taazko kuch pata nahi chalega but Taaz ko saabkuch pata chalgaya! (pata nahi kaisey!)

Mr. Rahman - Sir Aapko kaise pata chala ki maine...

Taaz- None of your business! jitna pucha hain utneka jawab dijiye! 2lakh liya tha key nahi?

Mr.Rahman chup hojatey hain. woh isswakt bohot sharmindegi mehsoos kar rahe hain. apne 8saal ki career mein unhone kabhi bhi koyi galat kaam nahi kiya...lekin Khalid ne jab Peyso ki lalach diya toh pata nahi kyun woh mana nahi kar paya!

Mr. Rahman ko chup ho jatey dekh Taaz samajh jata hain ki "Rishwat" ki baat saahi hain. Usse bohot gussa ata hain! but woh kuch bole isse pehle koi darwaze pe nock karta hain. woh Noor thi.

Taaz - Noor, aap yaha?

Noor - woh apne "Khana" leke aneko bola tha... toh...

Taaz - Thik hain! andar ake deke jaiye.

Noor chup chap andar aakey khana taaz k saamne wala table pe rakh k roomse nikal jati hain. Noor k achanak room mein anese Taazne aapna gussa already kaabu karliya tha. Noor k jane k baad woh Mr.Rahman se bola.

Taaz - Mr.Rahman, apne jo kiya uska koyi muafi nahi hain. issliye hum aapko Aaj balki isiwakt naukri se nikalte hain. Mirza Group ko Aap jaisi dhokey baazo ki koyi zaroorat nahi hain!

Mr.Rahman - Sir...! Nahi sir eisa maat kijiye. mein barbaad ho jaunga. meri family...

Taaz - ye saab aapko pehle sochna chahiye tha. humne jo phesla le liya woh le liya. aabh hum usse nahi badlenge. Aap ja saktey hain.

Mr.Rahman chale jatey hain. jane se pehle kahi baar Taaz ko request kartey hain but Taaz apna Decision change nahi karta hain.

Taaz nashta khatam karne k baad Masuka ko bulata hain.

Mashuka - Aapne bulaya Taaz Sahab ?

Taaz - hmm… Aap zara Asgar Chacha ko yaha anekey liye boliye. humein unse zaroori baat karna hain.

Mashuka - jee.

15 minute baad…

Asgar aur Suraiya dono Taaz k kamrein mein atey hain.

Suraiya - Tumne humein bulaya Taaz beta ?

Taaz - Haan…bulaya toh tha…par srif Asgar Chacha ko. Kheyr, Aap aahi gaye toh… beithiye!

Dono Taaz k saamne wale kursi pein beithte hain.

Taaz - Khalid ne humarey naamse humarey hi kuch pehchan k logo se 15 Crore Rupaiya le chuka hain. kya aapko ye pata hain?

Suraiya - Ya Allah! jhoot bolu toh kawa khaun! iss "Nalayek" ne toh humare naak mein dumm kar rakha hain. Taaz beta humara yakin karo. humein ye saab bilkul pata nahi hain… parr tum chinta maat karo. hum saabh kuch thik kar denge. aur woh paise…

Taaz - Uski chinta ap maat kijiye! humne kalhi woh paise lauta diye!

Suraiya Taaz ki baato se khush ho jata hain. lekin Taaz k saamne khushi zahir na kartey hue woh bolta hain…

Suraiya - Arrey nahi! tumhein khamakha kasht uthana para! rehne detey na, Atleast woh "Nalayek" ko pata toh chalta ki paisa income karna kitna mushkil hain.… par koyi baat nahi hum jald se jald tumhein woh paise lauta denge!

Taaz - (Smile kartey hue) Arrey Nahi! uski koyi zaroorat nahi hain.

Suraiya chaunk jati hain.

Asgar - Kyun beta ? zaroorat kyun nahi hain ?

Taaz kursi se uth jatey hain. Aabh Asgar ko kuch garbar wali feeling ata hain. kyunki Taaz shayad pehli baar unlogose itna "Hasske" baat kar raha hain. "Lakshan thik nahi hain isske…" Asgar aur Suraiya dono sochtey hain.

Taaz - kyunki mene woh aapkey betey Khalid k shares bechkey chukaiya hain. unkey abhi srif 5 crore k share hain Mirza Group main…!

Suraiya - Kya!!!! Nahi! tum eisa nahi karsaktey!!!

Asgar - Haan Taaz, tum eisa bilkul bhi nahi kar saaktey!!!

Taaz - Kar saktey? Kardiya already!

Suraiya - Tumhein eisa karneka  koyi haq nahi hain…!

(next p. will be coming soon)

𝓑𝓪𝓱𝓾𝓑𝓮𝓰𝓾𝓶Where stories live. Discover now