tu dekh le bs phir .. dosti k liye hum ne bhe qurbani de di " mukeet ne kaha .
" eeeee ! Dosti k liye di .. phele kud hi bhir bhe nikalwaya tha " hadi ne muu banaya .
" to tujhe kon sa kuch ataa tha .. or wese bhe agr tujhe nahi ataa tha to samajh humey bhe nahi ataa tha " humza ne kaha .
" ap log apas mein kya baatey kr rhay hai .. get out of my class .. or kl saza k liye tayr rahey ga " sir ne guse se kaha
" ok sir " un sab ne kaha or phir hastey hue bhir chlee gay ...
" waaaah ! Aaj to kya yarii nibhai tum sab ne " noor or palwasha joh sab dekh rhi the window se .. un k bhir atee hi kaha .
" haaaa ! Or kya .. ab akele thori is ko maar khane dete " saad ne mazee se kaha .
" i think k aaj raat fish khani ho gi .. nov. Ki Dec. Ki sardi .. or us mein hatho pr maar .. uffff " hadi ne kaha .
" kya matlab .. tum log kese jao gey raat ko " palwasha ne pucha .
" leeee ! Is mein kon si brii baat hai . Dewar phalang k " saad ne mazee se kaha .
" oooo ! Its soo amazing .. hum bhe tum logo k saath chlee gi " palwasha ne kush hotey hue kaha .
.
" tumhara demaag thek hai " noor ek dm guse se boli ." koi zaroort nahi hai .. tum hostel se kese ao gi . Or wese bhe itne raat ko .. hergiz nahi " humza ek dm serious ho k bola .
" yr tumhara masla kya hai .. " palwasha chir kr boli .
" humza bahi sahi keh rhay hai ... saad bahii " noor ne aaj pheli baar un sab se khiul k baat krni chahi k saad ne rok diya .
" bahi mujhe mt kahoo . Pleaseee palwasha ne bhe mujhe bahi to nahi kaha tha yr " saad to rone wala ho gaya .
" shut up saad .. baatao noor " humza ne saad ko guse hone k bad noor ko kaha
" k-kuch n nahi " noor dubara chup ho gai .
" dmmm ! " humza noor se baat krna chahta tha mgr woh phir chup ho gai .
Pta nahi is larki mein kya hai .. Q yeh mujhe bs ek sakhs ki yaad dilati hai .. kash asaa hota .. hmmmm pr asaa ho hi nahi sakta .. kabhi bhe nahi ... "humza ne socha .
" to baatao mein bhe chloo gi na tum logo k saath " palwasha ki awaaz usee apne kiyaal se bhir lai .
" nahi.. hargiz nahi .. kaha na ek baar .. or ab is baat pr koi behs nahi ho gi " humza ne guse se kaha or uth k chlaa gaya .
" eshaaa ! I think k humza is right " hadi ne usee kaha .
" fine ! Yr .. woh sraaa hua to mujhe kush dekh hi nahi sakta " palwasha ne guse se kaha or uth k chlii gai .
" lo gi .. meri crime patner to chlii gai " saad ne kaha .
Hadi or baki sab bhe uth k chlee gay the .. sirf noor apni hi socho mein gum udhr bethi reh gai .. or usee pta hi nahi chlaa kb us ki class ka ek larka us k saath a k beth gaya ...
" kya hua noor .. tum udaas Q ho " woh larka dikhne mein hi acha nahi lg rha tha ..
Noor to puraa kanpna start ho gai the usee dekh k .. us k halak se awaaz nahi nikal rhi the ..
Saad apna mobile udhr table pr bhool gaya tha .. woh lene ayaa to noor drii hui the or samney koi larka tha .. saad ki ragee guse se tan gai the .. ek new ahsaas tha .. joh woh samjhne se kasir tha .. usee pta nahi chlaa k woh kb or kese un dono tak phoncha .
YOU ARE READING
Wafay Ahad
General FictionIt's a army story Honesty love for country friendship ... every thing is present in it