Chapter 5

2K 180 14
                                    

Flashback ends:

Sid- maine bol to dia tha ki mai manage kar lunga par jab teri aakhon mein apne liye wo hesitation dekhi jo anjaan ko dekh kar hoti hai mai toot gaya tha samajh nahi aaya ki kya karu sunn pad gaya tha mai nahi dekh sakta tha wo tu mere liye kya hai mai khud bhi nahi jaanta subha shaam sirf tu chaiye hoti thi aur achanak mera sab kuch bikhar gaya tha mai samb hal nahi paa raha tha khud ko .

maine doctor ko bola ki kaise bhi karke bas teri ,memory wapas laa de mai kuch  hi karned ko tayaar hoon jo chahe le le bas teri yaadsaaht wapas laa de maine collar pakad liya tha badi mushkil se di aur jiju ne chudaya maine un se maafi maangi mai pairo mein gir gaya tha unke ki yaa to teri yaadasht wapas kar de ya meri bhi yaadasht khatam kar de kyuki saans nahi le paa raha tha teri taraf dekh nahi paa raha tha kuch minto mein mera wo haal ho gaya tha to kuch din ya kuch mahine kaise jeeta soch kar dimaag kharab ho raha tha phir maa aai unhome mujhe tappad maara mujhe tab bhi samajh nahi aa raha tha maa ne lagatar kai thapad maare tab jaa kar mai shaant hua tab maa mujhe hospital se bahar lai .

Flashback:

Maa- mai jaanti hoon ye bohot mushkil waqt hai humare liye sabse jyada tere liye par tujhe khud ko sambhalna hoga meri ek bachhi waha hai aur agar tu bhi aise karega to mai bhi toot jaungi haa ye san jo ho raha hai samjh bhi nahi aa raha hai jis bachhi ki ek kharoch aane par bhi hum sabki jaan nikal jaati thi jisse dekhe bina humari subha nahi hoti thi jiske bina ghr ghar nahi lagta uiske bina kya hoga kaise hoga nahi pta hai par bachha bharosa rakh khud par bhi aur uss par bh usne ye operation tere bharose par karaya hai tune usse bola tha na ki tu sab manage kar lega ab kya ho gaya hai wo wohi sana hai teri doll  teri jaan meri pari wohi hai wo humein nahi pehchanti hai par hum to jaante hai na to sambhaal apne aap ko .

Sid- putting his head in her lap - kaise sambhalu maa aapne dekha na kaise anjaan nazro se dekh rahi thi mujhe maine puri zindagui usse chaha hai usse maanga hai kuch aur nahi aata mujhe uske alawa aur achanak mera sab kuch chin gaya hai mujhse wo to mujhe pehchaan bhi nahi rahi hai mai uske saamne kaise jaunga kaise apne aap ko sambhalunga jab wo mujjhse puchegi ki mai kon hoon uska kya bolunga mai ki mai  pati hoon dost hoon ki wo zindagi hai meri mujhse nahi hoga maa.

Maa- bachha aise kyu himmat haar raha hai mai jaanti hoon ki tu jios dard sed guzar raha hai wo hum samajh bhi nahi sakte hai pr ye life hai bachha sab kuch humari marzi se nahi hota humein kuch cheeze bhagwan par bhi chod deni chaiye .

Sid- mai kya karu maa aap hi btao mujhe kuch samjh nahi aa raha hai .

Maa- uske liye apne aap ko strong rakh pta hai na jab uski yaadasht wapas aayegi aur tujhe aise dekhegi to bohot maaregi tujhe .

Sid- haa mai uske liye hi jeeta aaya hoon abhi tak aage bhi uske liye hi jeeyunga .

Flashback ends:

Sid- bohot mushkil tha wo sab maine maa se jiju se aur di se bola ki wo jaise pehle rehta the waise hi rahe tujhe har waqt koi na koi chaiye hoga to maine mana kia ki hum sach nahi batyenge kyuki doctor ne mana kia tha ki koi choti baat se bhi shock lag sakta hai to humne sirf ye bola ki tu family hai jhoot nahi bola sach chupaya wo sach jo maayene bhi nahi rakhta isse siway ki mai tera pati hoon wo maa teri waise bhi thi di aur jiju bhi tere hai pehle par mai uss ghar mein nahi reh sakta tha kis haq se rehta aur kya bolta ki mai kon hoon kyu saath rehta hoon to mai iss ghar mein shift ho gaya roz subha tujhe yaha se dekhta tha sab yahi se manage karta tha neighbour banke raha so that tujhe saq na ho .

Tu kabhi kabhi jab mujhe dekhti thi to aisa lagta tha ki mujhse kuch puchna chahti  hai kuch kehna chahti hai par bol nahi paa rahi hai teri nigahe jab bhi mujhe dhoondti thi to mujhe lagat tha ki shayad teri memory wapas aa gai hai pag agle hi pal wo sab jhoot ho jaata tha .

Sidnaaz BebasiWhere stories live. Discover now