Unnis

7 5 3
                                    

Kho diya sab kuch,
Phir kis liye ab bhi yahan khadi hu,
Ab bhi teri taak mein hu,
Jab janti hu,
Ki tu hai mujhse yu sau meel dur....

Dooriyan ye samjhati hai,
Ki kya khub thi nazdeekiyan,
Kya lamhe the wo pyaar ke,
Aur wo aansun jo saath hi bahate the,
Pata nahi sab kaise,
Aur kahan kho gaya,
Waqt ke saath,
Sab kuch beh sa gaya...

Tu, tu nahi raha,
Na mai khudko badalne se rok payi,
Aur choot gaye wo hath,
Jo thame the bandhan ke saath,
Atoot tha wo rishta,
Na nibhana tha,
Na kuch jatana tha,
Bas har roz pyaar barsana tha...

Kal tere saath milkar,
Muskurati thi,
Ab akele mein bhi muskurati hu,
Ek jo thi dil se thi,
Aur doosri mano bas ek bahane si thi....



Kuch baatein aisi bhiजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें