4.

170 24 14
                                    

Naam tera meri zuban par hai jab jab aaya,

Muskurata hua in Gustakh labo ko hai humne paya....

Jane kyu Qalb-o-zehen pe bas tera hi khumaar hai chhaya,

Ab to andhero main bhi tanha nhi rehne deta tera saya....

Kya qusur tha is dil ka jo tune ise ese hai tadpaya,

Phir hota hai mujhe Naaz ke tujhse Ishq main kar paya...

(Gustakh=cheeky/ill-mannered)
(Labo =lips)
(Qalb-o-zehen= heart and mind)
(khumaar= intoxication)
(Tanha =alone)
(saya= shadow)
(Qusur=crime)
(Tadpaya= to torture)
(Naaz=proud)
(ishq=love)

_Naaz Jamal
22.06.2020

Dil Ki Qalam Se... Donde viven las historias. Descúbrelo ahora