Hawa main apni sondhi si Khushbu samete,
Wo ja rahi thi khud ko us hare libaas me lapete...Chahta to tha main bhi uske peeche jana.,
Kuch uski baat sunna kuch haal-e-dil sunana...Usse aakh jo mili mano sab manzar tham gaye,
Uske lab bhi ek chhoti si Muskan me ram gaye.Ye mera hi dil tha jo dhadka tha kuch zoor se,
Ya wo dhadak ki awaaz aayi thi us ki oor se!Wo kya mehek thi jo chal rahi thi uske Saath main!
Apne hosh samabhal khada tha uski aas main
Magar usne palat ke dekha bhi nhi, dil tod ke chali gai,
Suni si shab meri ek jhalak ki aas me nikal gai...Kuch sambhala mene apne nadaan se dil ko,
kuch wo bechara khud hi samb'hal gaya...Abhi kuch lamhe hi the beete use bhulaye hue,
Ki main dusri ki taak main lag gaya!!_Naaz Jamal
(25.Sept. 2020)This nazm is specially dedicated to those chhichore boys who don't have any work except watching every girl passing from their street 😂😂
Bechare puri dedication se ek ek ladki ka intezzar krte honge, mene socha unke dil ke haal pr bhi ek poem likhni chahiye
😂😂😂😂Kesa laga bechare dil-pheek aashiqon ka dil ka haal? 😂
YOU ARE READING
Dil Ki Qalam Se...
PoetryAaj dil main kuch kehne ki himmat aayi hai... Magar kuch kehne se pehle aap ki ijazat chahiye... Aata hi nahi hai mujhe hunar apni baat rakhne ka.. Ab kya kre Naaz, aakhir har hunar seekhne ke liye ek umar chahiye... _Naaz Jamal