Mujhe aaj bhi yaad hai....
Wo mazakh se hasana...
Wo chida kar rulana...
Wo gale se lagana..
Wo baag mein le jana...
Mujhe aaj bhi yaad hai...
Wo barish main nahana...
Wo kashtiyan chalana...
Wo patange udana, or hamesha katwana.
Wo bajaar le kar jana
Mujhe aaj bhi yaad hai...
Wo apne haathon se khana khilana
Wo jhula jhulana or laad jatana
Wo khahaniyan sunana
Or mujh se pehle khud hi soo jana
Mujhe aaj bhi yaad hai....
Wo aap ka chhoti keh kar bulana
Wo mujhe dara kar dudh pilana
Wo sab ki daat se bachana
Wo mujhe school se le kar aana...
Mujhe aaj bhi yaad hai.
Wo apni badi si kursi par mujhe bithana
Wo qaied parinde mere hatho azaad karwana
Wo jo meri ungli main ek sui chubhi thi....
Wo mere dard se aapki aakho main aansu aana..
Mujhe aaj bhi yaad hai...
Waqt badla hai,
halaat badle hain,
Nazariye or jazbaat badle hain,
Magar wo yadon ka khazana sath hai...Mujhe aaj bhi yaad hai...
Mujhe sab kuch yaad hai.._Naaz Jamal
15.07.2020Yeh pta nahi nazm hai ya kuch or hai magar mrer dil ke bohot wareeb hai kyuki ye mere Bachpan se related hai.
YOU ARE READING
Dil Ki Qalam Se...
PoetryAaj dil main kuch kehne ki himmat aayi hai... Magar kuch kehne se pehle aap ki ijazat chahiye... Aata hi nahi hai mujhe hunar apni baat rakhne ka.. Ab kya kre Naaz, aakhir har hunar seekhne ke liye ek umar chahiye... _Naaz Jamal