❤️

618 30 26
                                    

Dil ki Qalam Se.....

Na hi main koi shayar hu, Na hi main urdu ke adab-o-adaab se waqif hu... Magar kyuqi urdu meri madari zuban (mother tongue) hai to mujhe isse pyaar hai...

Shayri se or likhai (writing) se mera khaandani ta'aluq hai shayad isi liye mujhe bhi shayari ka shooq hai...

Main apni shayri ko sab se chhupa kar rakhna pasand karti thi magar ab mene socha ki kyu na aap sab ke Saamne rakhi jaye...

Main koi shayar nahi hu, bas Jo dil main aa jata hai wo likh deti hu, Na hi aaj tak mene kisi se madad li hai apne hunar ko sudhaar ne ke liye... Agar aap ko is kitaab ke kisi bhi shyeer main koi galti lage or waha sudhaar ki gunjaish ho to aap mujhe bta sakte hain, mujhe khushi hogi.

Main 8 ya 9 saal ki thi jab mene Pehli baar ek shyeer likhne ki koshish kri thi. Woh mujhe aaj tak yaad hai or main Pehli baar kisi ke Saamne rakhne jaa rahi hu..

Agar achha na lage to ek bachchi ka mazakh samajh kar bhul jaiyega or aage ke sheer zarur padiye ga..

Shamma roshan hoti hai to parwane khichen chale aate hain..

Phir us rooshni main wo khud hi raakh ho jate hain...

(Shamma = candle
Parwana = an insect who hovers around the lights)

_Naaz Jamal

Dil Ki Qalam Se... Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang