RUKMINI KRISHNA

1.7K 123 44
                                    

Bondita comes out of the bathroom and sees no one is there in room. She hurriedly gets ready for the aarti as she thought she is late, but as she reaches down everyone were yet to come.

Ani - Aa gyi Mishti?

Bon - Ji par baaki sb kaha hai?

Ani - Tum aaj thoda jldi aa gyi ho.. jab tak sb aate hain , hum arti ki tyaari kr lete hain.

Bon - Ji.

They prepared for Arti and everyone came.

Bondita sang arti in her melodious voice and everyone sat for the breakfast except Som and Anirudh.

Bon - Aap log khade kyun hai bethiye.

Mrinal - Ha Som Ji aur jeth babu beth jaiye.

Anirudh then made Bondita sit on her place and served the breakfast to everyone.

Ani(with a smile) - Aaj khaana hum dono ne bnaya hai aur raat ka khaana bhi hum hi bnayenge.. Aur parosenge bhi hum hi.

Bon - Kyu pati babu humse koi glti hui hai?

Som - Nhi boudi bs aap logo ko aaj kuch zimmedariyo se aaram de rhe hain hum.

Mrinal - Achi hi baat hai(giggles)

Som - Hass kyu rhi ho tum?

Mrinal - Dekhte hain kesa khaana bnaya hai.

Som - Bohot swadisht khana hai.

Mrinal - Dekhte hain.

They served the food. Everyone had their first morsel of food. Their eyes widened in shock . 

Bon - Areey waah Pati Babu.. Mujhe nhi pata tha aap itna swadisht khaana bnate hain.

Mrinal - Aaj se pehle kabhi bnaya bhi to nhi tha.. sach me kaafi acha hai yeh Som ji.

Ksj - Hume bhi umeed nhi thi tum dono se yeh.

Batuk - Mujhe bhi kaka... inhone jb kaha inke haat ka khaana khana padega to mere to dimaag me bhaagne ke vichaar aa rhe the.

Everyone laughed. But the one enjoying every morsel of food was Mohan. Everyone looked at him with shock.

Anirudh and Som did not expect this

After the breakfast everyone got busy in their daily chores . Bondita and Mrinalini as usual went to Mohan after completing their chores. Mohan again sat on the bed and Bondita and Mrinal on the floor.

Mohan - Aaj aapko me bataunga Mata Rukmini ki Prem Kahani .

Bondita and Mrinal gave him smile of excitement.

Mohan - Mata Rukmini Vidarbh desh ki rajkumari thi.. unhone bachpan se hi Mathura ke Krishna ke baare me suna tha.. unki Vrindavan leela ke baare me aur Kansa ko unhone kese maara..Aur unko sirf Shree Krishna ke baare me sunke unse prem ho gya.. Phir wo badi ho gyi aur unki shaadi ki umar ho gyi. Unke pita aur bhrata ne unka vivah Shishupal se tay kr diya , Mata ki icchaa ke virudhh.. Shaadi ke kuch din pehle Mata ne Shri Krishna ko patr likha aur kaha ki wo agle din Bhavani ma ke mandir ja rhi hain aur Shree Krishna ko agar unka prastaav sweekaar hai to wo Bhavani Ma ke mandir se Mata ka apharan kr le. Dar asal Shree Krishna ne bhi Mata ke vishay me bahut suna tha , unki sundarta unke guno ke baare me.. To bs phir kya tha.. Agle din Shree Krishn apne bade bhai Balraam dau ke saath chal pade Vidarbh.. Udhr Mata Rukmini prateeksha kr rhi thi Shri Krishna ka kyuki unko vishwaas tha ki unke Krishna avashya aayenge. Aur wo aaye.. Mata ke mann ke ullaas ke wajah se unki aankhe bhar aayi.. Shri Krishn ne kaha "Me kese na aata apni Praan Priye Rukimini ko lene? Hum dono ka saath to Aadi se Anant tak ka hai."Phir wo Mata ko Vidarbh se leke gye Mathura aur udhr un dono ne Vivah kr liya aur Mata Rukmini aur Shri Krishna sada ke liye ek Pavitra bandhan me bandh gye.

ANIDITA - THE BARRISTER COUPLEWhere stories live. Discover now