Anmol and his family members reached in Udaipur . Gayu and other family members also reached there.
Singhaniya house
Naira came downstairs and looked here and there. Everyone was busy in marriage stuff. They running here and there.
"Mere joote kaha hain"
"Uff ye kia kiya isse yaha nahi rakhna tha uthao waha se"
"Gayu jaldi se yaha aao mera jewellery box nahi mil raha "
"Keerti mere kapde laundry ke paas gaye the aye nahi"
"Aa jaye gay wait kare"
"Kia ho gaya hai ye Anmol ko dekho abhi tak salon nahi gaya"
"Meri mehendi to lagi hi nahi"
"Haww mera pajama phat gaya ab kia karu"
"Mera naara(drawstring) baar baar khul jata hai kia karu"
"Mere nail paint abhi tak nahi aye"
"Mere matching ke earing nahi aye"
Naira looked at her family in disbelief.
Naira : (to God) oh God kia ho gaya hai in sab ko toba hai aisa lag raha hai jaise yaha ladke ki nahi balke ladki ki shadi hai. Kia karu kia karu..!!
Naira : Ahh.. Ahhhh...aaahhh !!
Everybody stops . They look at her and run towards her.
Naksh : (panics) Kia hua Naira tu theek haina aise kyun chillai.
Kaveri : Beta kuch kaat gaya kya.
Gayu : Kahi tu gir to nahi gaye.
Keerti : chakkar to nahi aya.
Anmol : Kia hua di??
Everybody : bolo na.. Kia hua... Aise chup kyun ho.. Mujhe tension ho rahi hai... Mai-
Naira : (loudly) Hush!! Silence... Chup aik dam chup. Kabse dekh rahi hu aise chup hi nahi kar rahe. Had hoti hai. Finger on your lips.
Every one obeyed her!!
Naira : (after a while) Acha ab bass remove your fingers guys!!... Actually she gave order.
Naksh : Kia tha ye sab!!
Naira : Mujhe kia pata ye to ap log batae. Subha hi subha nashta mai kawwe khaye the kia.
Devyani : Naira tum bhi na dara diya.
Nandini : Or nahi to kia mujhe laga shayd gir gaye tum.
Naira : (rolled her eyes) Ap sab ko ho kia gaya hai aise machli bazar laga rakha hai. Aisa lag raha hai jaise ke ladki ki bidai hone wali hai iss ghar me. Ladke ki dulhan lene jaa rahe hain yaar ap log aise thodi na karte hain.
They smiles sheepishly.
Naira : Ab aise mat hase sab or ready ho jaye jaa kar time kam hai.
They nods.
Naira : (to Keerti) Bhabi! Wo... Wo... (hesitating) maine... Maine.. Apki bouteq se dress order kiya tha abhi tak parcel hi nahi aya.
Everybody bewildered..
Naksh : Tune kyun dress order kiya kahi jana tha kia.
Keerti : Han Naira mujhe to nahi bataya.
Naira : Kia matlab hai ke kahi jana tha aj Anmol ki shadi hai to ofcourse issi liye order diya.
Anmol : (happily) Kia sach di ap bohat ache ho..... He hugged her. Naira also smiles.
YOU ARE READING
Kaira "Where Was My Fault?" (Completed)
Short StoryBased on Kaira separation Started on : 17.12.2020 Completed on :22.04.2021