Singhaniya house
Goenkas and Singhaniyas were sitting there. Kartik was also sitting there hugging Naira.
Manish : Meri to samjh mai nahi aa raha ke akhir wo ladka wapis kaise aa gaya.
Naksh : (angry) Pata nahi kabse meri behan ko pareshan kar raha tha.
Devyani : Naksh iss baar vo ghatiya insan bahir nahi aana chahiye.
Everybody was blabbering. Kartik became angry.
Kartik : (on the top of his voice) Ap sab log chup hongay. Pehle hi Naira ki halat kharab hai or ap log baar baar vahi baat karke usse or pareshan kar rahe hain. Dekhiye.. Dekhiye kitna ro rahi hai vo.
They looked at Naira who was crying uncontrollably.
Suhasini : Kittu beta tum Naira ko room mai le jao hum baad mai usse poch le gay sab kuch.
Kartik : Koi kuch nahi puchega mai khud baat kar lunga Naira se. (to Naira) Chalo Naira mere sath room me.
Kartik brought Naira into room.
Kartik : (to Naira) Tum kaisa feel kar rahi ho Naira agar uneasy feel kar rahi to hum doctor ke pass chale?
Naira : Nahi main theek hu bass headache ho raha hai.
Kartik : OK tum baitho yaha medicine le lo.
He gave her medicine.
Naira : Kartik sab log kia soch rahe ho gay mere baare mein.
Kartik : Naira koi kuch nahi soch raha or please tum bhi uss baare mein sochna band karo or sone ki koshish karo.. Chalo shabash so jao.
He made her lay on bed and covered her with duvet. He was caressing her hairs.
Naira : Kartik mujhe baat karni hai tumse.
Kartik : Naira abhi nahi please abhi araam karo.
Naira : Please Kartik abhi baat karni hai. Uske baad mai pakka araam karungi or aise koi baat nahi sochungi.
Kartik : (sighs) Naira... Acha chalo batao kia baat hai.
Naira : Tumhe pata hai vo Aditya mujhe-
Kartik : (trying to be calm) Naira uska naam mat lo.. Aj to wo mar hi jata mere hatho se agar police waha nahi hoti.
Naira realized something .
Naira : Wait wait Kartik tum kaise pohanch gaye waha tumhe kaise pata chala ki mai uss park mai hu.
Kartik : Tumne hi toh text kiya tha mujhe or jab maine vo mesege dekha to mai bohat shocked ho gaya kyun ke maine to tumhe waha bulaya hi nahi tha or phir vo park to hai bhi aik sunsaan jaga pe.
Isliye maine call trace ki or police ko le kar waha aa gaya. Mujhe doubt tha ke kahi tumhe kisi ne waha dhoke se na bula liya ho.Naira : Kartik agar tum nahi aate waha to pata nahi.. She said with teary eyes.
Kartik : Arre aise kaise main nahi ata mujhe to aana hi tha ab please rona band karo. He wiped her tears.
Kartik : Naira tumhe mujhe pehle hi sab bata dena chahiye tha agar tum bata deti to ye sab nahi hota. He said with teary eyes.
Kartik : Acha hamari baat to beech main hi reh gaye tum kuch bata rahi thi na.
Naira broke the hug and wiped her tears.
Naira : Kartik pehle promise karo ke tum gussa nahi karo gay mujhe daanto gay nahi.
YOU ARE READING
Kaira "Where Was My Fault?" (Completed)
Short StoryBased on Kaira separation Started on : 17.12.2020 Completed on :22.04.2021