Part 39

316 78 23
                                    

Here we go....

Purvi was about to move but her hand gets with a box of earning... and it falls down...

Vir :- k karti rehti hai...jab dekho tb kisi na kisi cheez se takrati hai...aankhe hai k button...dekh sab fela Diya na...

Purvi sits to collect the stuff :- humari to aankhe hi hai...pr kya kare jb aap humare aas paas hote hai to...har waqt bs aapko hi dekhti rehti hai...(says in one go...and then she realise that what she spoke... she bite her tongue)

Vir smiles :- tu bhi na bawari...bilkul pagal hai...

Purvi smiles and get up with that box but one earing was left there...vir sees

Vir :- ha...teri aankhe hai, pr koi kaam ki na...yo dekh ye reh gaya (he bends down and picks up the earing...) He looks at it... something clicked in his mind...

Purvi looks :- are ye...ab iska kya kare...ye to ek hi hai humare pass

Vir :- ek hi hai mtlb...dusra kaha gaya...

Purvi :- pata nahi kahi gir gaya...ye jhumke hume sudha aur priyu ne diye the...aur humne ise sirf ek baar hi pehne the...woh cycle ki dod thi na tb...uske baad pata nahi kaha gaya...kaha gir gaya hume pata hi nahi...
Laiye ise rakh dete hai....waise bhi ye koi kaam ka  nahi hai...

Vir :- pr manne pata hai...and he moves to his wardrobe...he takes out the another piece of it from the drawer...and moves near her...

Purvi was looking at him with confusion...

Vir :- yo le....yo raha woh dusra jhumka....

Purvi :- ye aapke pass kaise...??

Vir :- kya tanne bardasht mein bhigna pasand hai...

Purvi :- ha...hume baarish mein bhigna bohot pasand hai...pr iss ka baarish se kya lena dena hai.. (then she remembers that on that day she was dancing and playing with kids in rain)

Purvi :- achha..ha yaad aaya...woh uss din ye jhumka wahi gir gaya hoga...pr ye aapko..

Vir :- yo manne wahi pe gira hua Mila tha...jb tu waha pe bachho k saath bachhi ban gayi thi...tb ye wahi gir gaya tha...

Purvi :- achha to aap humara pichha kr rahe the...

Vir :- na mein koi tera pichha na kiya...woh to mein waha se gujar raha tha aur meine kisi k khil khilati hui hassi ki awaz suni to bs dekhne chala gaya tha...pr kaha pata tha ki woh meri bawari hogi...

Purvi blushes when he said "meri bawari"

Purvi :- achha to ladkiyo ki taka jhaaki karte the...

Vir :- manne koi shok na hai aur ha...woh to gaadi ka tyre puncher ho gaya tha to isi liye...warna manne k zarurat ki mein kisi ko dekhne k liye mara jau..pr pata nahi kyu, uss din Teri hassi aur Payal ki awaz ne manne teri taraf khich liya tha...

Purvi :- ohh..to ab hum samjhe k ye jhumka hum kyu itna sambhal k rakhte the....kyuki is ka dusra hissa humare pyaare bachho k baba k pass tha...

Vir :- pr manne ye bata ki...tu shaadi k baad payal kyun na pehenti...??

Purvi :- woh...woh humne payal bech di thi...ghar k halat aise ho gaye the...to humne...aap woh sab chodiye, aur chaliye niche hum nashta bana dete hai aur bachho ko bhi uthana hai

Vir :- tu ja aur bachho ko taiyaar karde...tb tk mujhe ek file dekhni hai woh dekh leta hu....aur ye saam bhi Gopi ko keh k niche rakhwa de...

Purvi :- ha...woh to hum kar denge, pr aap apna kaam jaldi khatam kr lena...fir ye na ho ki hum aap ki wajah se der se nikle..

Vir :- aapka hukum sar aankho pr...aur kuch

Purvi nodded :- to hum chalte hai..

Vir pulls her hand :- chalte hai nahi yo bol ki aati hu...

Purvi smiles :- achha baba...aate hai hum...

She goes towards kids room and wakes them up but they were already got up

They were little bit sad...

Purvi :- are tum dono ko kya hua?? Ab to hum sab Jaa rahe hai na bahar picnic pe...to tum dono ka muh kyu fula hua hai....ha

Juhi :- hum sab kaha haathi... baba to nahi aa rahe humare saath...

Manas :- unke bina hume maza nahi aayega na....

Purvi :- are to kya hua...hum to haina aapke saath

Juhi :- pr haathi...humne socha tha ki hum baba k saath khelenge aur khub Masti karenge pr...

Manas :- babber sher k bina jungle k janwar ka dhyaan kon rakhe ga...

Purvi smiles... :- ohh to babber sher ko le ke Jana hai...thik hai

Just then Gopi kaka arrives

G.K :- chhoti Malkin..woh badi Malkin ne kaha hai k aapne saman bandh liya ho to...niche gaadi mein rakhwana hai...

Purvi :- ji woh humara aur mukhiji ka saman kamre mein rakha hai...aap le aaiye..

Kids hears that and started jumping with joy...

Kids :- haathi kya baba humare saath aa rahe hai...

Voice from back :- ib babber sher ko to apne praniyo ka dhyaan rakhna hoga to usse to chalna hi hoga na...warna unka khyaal kon rakhe ga..??

Kids :- thank you baba...aap maan gaye...yeee...ab hum sab mil k khub Masti Karenge...
Hum abhi sab ko bata k aate hai...

Both goes out....

Purvi :- kitne khush ho gaye humare bachhe....aap nahi aa rahe the ye jaan k bohot udas ho gaye the....lekin ab dekho

Vir :- ha yo to hai...ab mujhe bhi khush karde...

Purvi :- kya...hee, kya bola aapne...

Vir :- (holds her hand and makes her sit on bed) haa...ib manne bhi to khush hone ka haq hai...chal ib manne bhi tu khush karde...

Purvi :- ab...aap to kahi bhi shuru ho jaate hai mukhiji...kuch to sharam kijiye...ye humara nahi bachho ka kamra hai...woh dono kabhi aa sakte hai...chaliye aap..
(She gets up...but vir makes her sit..)

Vir :- ib chup chap Beth...koi na aayega...aur ( he holds her leg and puts on bed... beside him) ib bhagne ki himmat bhi na karna... Warna...

Purvi :- warna...warna kya haa.. kya kar lenge aap...hum koi darte na..hi...hai...kisi se... Aur aapse to bilkul bhi nahi samjhe...

Vir :- achha ji...to fir yo to achhi baat hai....(he moves closer...she bends backside...he was going more closer to her....she closes her eyes and side her face...) He kisses on her cheek

Purvi :- mu...mu...mukhiji.... dekhiye..hum aapko bata rahe hai...

💛🖤💛

मेरे लबों पे बस तेरा नाम हो
मोहब्बत में ऐसा अपना काम हो
हीर राँझा की मिसाले लोग भूल जाएँ
अपनी मोहब्बत ही इतनी खास हो
💛🖤💛

To be continued 💕💕

𝐏𝐚𝐭𝐡 𝐎𝐟 𝐃𝐞𝐬𝐭𝐢𝐧𝐲 (Slow Updates - Under Editing)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें