Part 23

993 75 12
                                    

Hey guys, jaise pichle part me bataya tha ye part mainly RV ke POV se hai. Isme saari past ki story pata chale gi.

Pehle hi sorry kehri hn, ke isme baaki logon ka koi part nahi hai aur Simi ke sirf chotu se dialog hai. Par ye chapter aage ki story ke liye bohat crucial hai.

Tho let's start the chapter:
--

RV: please sit down everybody. So shuru karne se pehle maine kuch aur bi kehna hai. Sid aur Monu, I'm really sorry jo kuch bi hua uske liye. Aur trust me, I didn't want anything to happen like that. Khas kar ke tumlogon ko aise sab pata chalna. I'm really sorry ke maine tum dono ko pehle kuch nahi bataya, par believe me I didn't have a choice. Par ab bohat hogeya, mujhe sab batana hi pare ga. Aur please pehle sab sun lena aur phir react karna.

Sid: bro kuch serious hai kya?

Monu: jyada serious lagra hai. RV, whats going on?

RV: I will explain.. tum dono ko jaad hai, ke hum achanak Dehli shift hoge the? Dad ki posting Delhi hogi thi par he wasn't sure if we should go there ya nahi. Hum tum sab ko akela chorke nahi jaana chahte the. My dad didn't really like your dad Monu. Unki koi baat ki wajah se behaas hogi thi aur my dad didn't like some of your dads decisions. Aur waise bi tum dono ko pata hai ke both your dads aapne kaam pe jyada dehaan dete hain. Baaki ka unko koi farak nahi parta. Tho is baat se Mom aur dad pareshaan the ke wo kya kare? Shift to Dehli or not. 
Phir bua ji ne Mom aur Dad se baat ki aur unko samajaya ke we should go aur tumlog ke liye tension na len. Sab theek hoga. Tho phir hum Dehli shift hoge the.

Sab theek jaara tha aur Dad aur Bua ji bi jab time hota tha baat karte the. Bua ji ko pata tha ke humare Dads eek dusre ko itna pasand nahi karte. Par unko lagta tha ke distance ki wajah se wo aapni narazgi bhuljayen. Par only opposite happened.

Jab bua ji ki shaheed hone ki khabar aayi thi, tho hum bi bohat shock hoge the. Phir humne decide kia ke tumlogon se mil len. Hum milne bi aaye the. Par I guess tum dono ko ye jaad nahi hoga. Tum dono bohat ro rahe the aur aas paas ko register nahi kare the. Tumhari haalat dekh ke bohat bura lagra tha. Hum kuch din ke liye rukhne aaye the, par hume do din me hi pata chal geya tha ke Mr. Mahajan tumhari koi care nahi kar rahe Monu. Hume pata tha ke wo pehle se hi tumhari itni care nahi karte the par ye dekh ke tho bohat bura feel hua tha.

Tho Mom aur dad ne decide kia ke wo tumhare dad se kahen ge ke hum tumhe humare saat Dehli le jaaen. We will take care of you. But Mr. Mahajan nahi maane aur upar se blame lagaya ke hum ye sirf paison ke liye kare hain. Because bua ji ne unki property Monu ke naam ki thi. Tho unke gusar ne ke baad wo sab Monu ka hai. Mr. Mahajan nahi maane aur hume bura bhalla kaha tho Dad ko gussa aaya aur hum wapis Dehli chale ge.

Phir jab pata chala ke Monu ko panic attacks aate hain, tho phir koshish ki thi Mr. Mahajan se baat karne ki. Par wo kuch nahi sunna chahte the. Tho Dad ne socha ke legally kuch karna chahiye. Phir Mr. Mahajan ne decide kia ke wo tumhari care karen ge aur Sid ko tumse door nahi karen ge aur iske badle me hum interfere nahi karen ge. Tho tum dono ke dads ne tum dono ko boarding school bhej diya. Humne socha ke at least tum dono safe ho, saat ho aur udar teachers bi dehaan de gi tumhara. Tho itni tension nahi li humne, par kahin na kahin fikr tho rehti thi hamesha. Isliye Dad ne kuch logon ko tumpe nazar rakhne ko bola tha. Main tho tab college me tha par mujhe sab pata tha.

Do saal tak sab theek chal raha tha. Maine bi college complete kar liya tha aur training shuru karli thi. Then we got to know about the incident at your school, jo intentionally kia geya tha. Wo sunke bohat gussa aaya, ke koi aisa kaise kar sakta hai. Humne kuch strings pull kiye aur wo larka school se rusticate hogeya.

Sid: (shocked) e.. eek min, wo walnut uncle ne nahi kia?

RV: no, he couldn't do anything. Unko lagta hai unki wajah se school ne wo step liya tha. Par nahi, wo humne karwaya tha.

Zdmn FF - Her Sacrifice Where stories live. Discover now