YRKKH:- ABHIRA

11.3K 150 11
                                    

It starts when abhimanyu walks off the goenka house after asking akshara to choose between him and arohi. Birlas too walked off and were waiting outside the goenka house. Goenkas were asking akshara to choose abhimanyu over arohi.

.........................................................................

Akshara was crying hearing manish asking her to tell abhimanyu that she chooses him.

Kairav who couldn't see her like that goes and hugs her. Akshara cries hugging him tightly. Arohi was also crying.

Akshara crying- bhaiya main kaise abhi aur aru me se kisi ek ko chun lu...main dono ke bagair nahi jee sakti...mujhe dono chahiye

Manish- pagal mat bano akshara...jao aur jakar keh do abhimanyu se ki tumhe uski shart manzoor hai...aur shukar manao tum dono...ki abhimanyu ne sirf ek shart rakhi hai...are vo chahta toh tum dono ko jail bhej sakta tha...ye shadi tod sakta tha par usne aisa nahi kiya kyoki use badla nahi pyaar chahiye...vo rishte todna nahi jodna chahta hai...aur ab tumhe bhi yahi karna hoga akshara

Kairav tries to take akshara's side- bade papa...aap kya keh rahe hai...abhimanyu ka gussa main samajh sakta hu...lekin aap toh kam se kam akshu ke baare me sochiye...abhimanyu ko shayad andaza nahi hai lekin aapko toh pata hai na ki akshu ki jaan basti hai aru me

Manish- janta hu main...bachpan se dekh raha hu in dono ko...par main ye bhi janta hu ki agar ye shadi nahi hui toh kya hoga...akshara aur arohi ko jail abhimanyu nahi bhejega par agar shadi toot gayi toh kya izzat reh jayegi hamari samaj me...arohi ki toh shadi pehle hi toot gayi hai...ab main nahi chahta ki akshara ke sath bhi aisa hi ho...varna hamare pure parivaar ka naam mitti me mil jayega (points at akshara and arohi) ye dono ladkiya izzat hai hamare ghar ki...main nahi chahta ki in dono ki harkato ki vajah se hamare parivaar ka naam kharab ho jaye

Suhasini- manish bilkul sahi keh raha hai...aur vaise bhi mujhe nahi lagta ki abhimanyu ne koi galat shart rakhi hai...arohi ne har baar koi na koi galti ki hai jiski saza akshara aur abhimanyu ko mili hai toh ab agar abhimanyu apni khushiyo se arohi ko door rakhna chahta hai toh isme burai kya hai

Akshara who was still hugging kairav tightly was more broken hearing her family. Arohi was also crying listening them.

Swarna- der mat kar akshu...abhimanyu bahar tera intzaar kar raha hai...jaa aur use jakar keh de ki tujhe uski shart manzoor hai...jaa

Akshara looks at kairav who cups her face.

Kairav- akshu...abhimanyu ne ye faisla tujh par choda hai na...main bhi tere sath koi zabardasti nahi karunga...par beta ek baat main kehna chahta hu jo abhimanyu ne bilkul sahi kahi...arohi ka sach...aru ne hamesha tujhe sirat maa ke naam par emotionally manipulate kiya hai...tujhe blackmail kiya hai...khud galti karne ke bavjood tujhe aage khada kar deti thi taki tu uski galtiyo par parda daale...akshu ye galat hai...bachpan me homework na karna ya fir kaanch todne par ye chal jata tha...lekin ab tum dono badi ho gayi ho...ab tum dono aisa nahi kar sakti...jo galti jisne ki hai usi ko uski saza bhugatni padti hai...main nahi kehta ki abhimanyu ki shart sahi hai par vo puri tarah se galat bhi nahi hai...arohi ne itni galtiya kari hai ki ab abhimanyu us par chah kar bhi bharosa nahi kar sakta...jo situation abhi create hui hai na akshu...usme abhimanyu bilkul sahi hai...ham uska dard samajh sakte hai akshu...hamne hamari maa khoyi hai...vo bhi do do baar...tujhe uska point of view bhi samajhna hoga...aaj itna sab hone ke bavjood vo tere liye khada ho gaya...apne family ke khilaad jakar usne tujhe bachaya...yaha tak ki arohi ko bhi jail nahi bheja...vo chahta toh bhej sakta tha...uska hak tha ye...tu samajh rahi hai na meri baat beta

Akshara looks at kairav and nods crying- par aru ko kaise apni shadi se door kar du...behen hai meri

Kairav takes a deep breath- arohi ke bina shadi abhimanyu ke bina zindagi se zyaada aasaan hai akshu...aur ye tu bhi janti hai

ONE SHOTSWhere stories live. Discover now