KUMKUM BHAGYA:- ABHI AND PRACHI

1K 45 2
                                    

It starts from when pragya denied abhi to tell prachi the truth that he is her father. He dropped both of them to their home. Prachi invited abhi for tea.

Prachi requests- sir...aap please chai pikar jaiye...main bohot acchi chai banati hu...bas paanch minute lagenge...aapne aaj maa ke liye jo kiya...uske baad ye thankyou chai toh banti hai na...aap aaiye na...baithiye

Pragya immediately- nahi

Abhi and prachi look at her startled.

Pragya explains- mera matlab ki maine suna tha ki inhe kuch zaroori kaam hai...toh inhe jaana padega

Prachi upset- fir meri thankyou wali chai

Abhi couldn't see her upset- are kaam hai par itna bhi zaroori nahi ki main world ki best chai miss kar du...par kya hai na...maine suna hai ki tum chai se zyada acchi coffee banati ho...chai toh sirf world best hai par i am sure coffee toh universe me best hogi

Prachi chuckles- main banati hu

Prachi goes to make coffee. Pragya holds abhi's hand and takes him outside.

Abhi- kya kar rahi ho

Pragya- aap kya kar rahe hai...kyo yaha ruke...bahana banakar chale jana chahiye tha

Abhi- main kyo jau...meri beti mere liye coffee bana rahi hai...uske sath time spend karne ka mauka mil raha hai mujhe...

Pragya interrupts- time spend karna ka mauka...aur aap prachi ko kahenge kya...ki aap uske saath waqt kyo bitana chahte hai

Abhi smiles- yahi ki main uska papa hu...aur ab sir sir kaafi ho gaya...beti hai meri...papa bualyegi mujhe

Pragya- nahi bulayegi

Abhi is shocked- hua kya hai tumhe...kyo prachi ko batane nahi de rahi ki main uska papa hu

Pragya- aur jab vo aapse puchegi ki aap use aur uski maa ko chod kar kyo chale gaye toh...tab kya kehenge

Abhi- main use pura sach bata dunga

Pragya- aur vo ye nahi puchegi ki aapki naarazgi maa se hai beti se nahi...toh fir use kyo nahi dhundha...kyo bees saal tak use papa ka pyaar nahi mila...unka naam nahi mila

Abhi- nahi puchegi vo

Pragya- kyo nahi puchegi...jo sawaal rhea ne mujhse kiye jab use pata chala ki main uski maa hu...vahi sawal aapse bhi kiye jayenge jab prachi ko pata chalega ki aap uske papa hai...aur main janti hu prachi itni badi nahi hui hai...use rishte banana aata hai lekin jo rishte toot jate hai...us vajah ko samajhna nahi aata...aur vaise bhi aapne itna sab kuch jo sunaya hai prachi ko vo usse hurt hai...aise me agar use pata chal gaya ki aap uske papa hai...vo khush nahi hogi...main janti hu use...ye jo thankyou wali chai coffee hai bas isliye ki aapne uski maa ki aaj jaan bachayi...bas aur kuch nahi...aap jah use sunakar yaha se gaye the na toh dekhi thi maine uski haalat...toot gayi thi vo...aur fir aapke ghar me uske sath kitna galat hua hai...jante hai na aap...chori ka ilzaam lagaya hai...na jaane kitni baar...kya kahenge uska baare me usse

Abhi feels bad. He looks at inside and then at pragya.

Abhi- tum sahi keh rahi ho...meri vajah se prachi bohot hurt hui hai...vo shayad mujhe apna papa kabhi naa maane...its ok...i deserve this

Abhi leaves. Pragya looks at him going. Prachi comes with coffee.

Prachi- maa sir kaha gaye

Pragya looks at her- unhe kuch kaam tha...vo chale gaye

Prachi looks at coffee sadly- fir meri coffee

Pragya- mr mehra nahi hai toh kya tu mujhe bhi coffee nahi pilayegi...aaja sath me piyenge

ONE SHOTSWhere stories live. Discover now