YRKKH:- ABHIRA

3.4K 160 38
                                    

Abhira are married. It was one year to their marriage when they had an accident in which akshara was dead. Abhimanyu was heartbroken and then immersed himself in his work. He hardly went to his home.

............................................................................

Three years later

In birla hospital

Abhimanyu was in the ot. He comes out tired. He was washing his hands when nurse comes near him.

Abhimanyu- nurse meri next surgery agle pandrah minute me schedule kijiye

Nurse- par sir aap pichle ek hafte se ghar nahi gaye

Abhimanyu looks at her angrily- vo meri problem hai...aap apna kaam thik se kijiye

Nurse gets quiet and leaves. Arohi sees this from the corner. She was about to come to abhimanyu but he sees her and and goes to to get ready for his next surgery. Arohi gets upset.

Arohi- ghar me hamari sagai ki tayyariya chal rahi hai aur ye hai ki...mujhe dekhte hi chala jata hai...kya ye kabhi akshu ki yaado se bahar nahi aayega...mujhe is shadi me mera hak milega bhi ya nahi

Arohi also goes for her work.

In birla house

Manjiri was making all the preparations and neil and parth were helping her. Just then Neil's phone rings.

Neil- hello

Abhimanyu- neil maa ko phone de

Neil keeps the phone on speaker- haa bro boliye...phone speaker par hai

Abhimanyu angrily- maa aapse kitni baar kaha hai ki kaam mat kijiye...aaram kar lijiye...aap sunti kyo nahi hai...main ghar nahi aata iska matlab ye nahi mujhe pata nahi hai ki aap kab aaram karti hai aur kab kaam

Manjiri- abhi...beta teri sagai ki tayyari....

Abhimanyu interrupts- maa aap ek mahine me kal paanchvi baar behosh huye the...aapka bp abhi tak normal nahi hua hai...agar aap chahti hai ki main ye sagai karu toh aapko apna dhyaan rakhna hoga...varna main ye rishta tod dunga...neil maa ko unki dawai de dena aur apne samne khane ko kehna

Saying this abhimanyu cuts the phone.

Parth- abhi kaafi gusse me lag raha tha

Manjiri sighs- ye uska gussa nahi hai parth...uska dar hai

Neil- akshara bhabhi ko khone ke baad bhai ab maa ko nahi khona chahte

Manjiri sad- jabse akshu gayi hai...apne sath abhi ki hasi aur is ghar ki khushiya bhi le gayi

Parth- chachi aapko lagta hai ki abhi arohi se shadi karke khush rahega...akshara ko bhul payega

Manjiri- akshu toh abhi ka hissa hi hai...jab tak abhi hai akshu rahegi...ab ham bas umeed kar sakte hai ki jaise akshu ne is ghar me khushiya bikheri thi...arohi bhi vaisa hi kare...vo yaha aakar akshu ki grahasti sambhal le aur mere abhi ko pehle jaisa bana de

Neil- maa bhai toh hamesha se hi aise the...gusse wale...workoholic...jis abhi ki aap umeed lagayi baithi hai unhe toh akshara bhabhi ne banaya tha...agar bro ke gusse ko koi khatam kar sakta tha toh vo sirf akshara bhabhi kar sakti thi...abhi bhai ghar jaldi aane lage the kyoki akshara bhabhi ghar par unka intzaar karti thi...vo khush rehne lage the kyoki akshara bhabhi unki life me thi aur vo sukoon se rehte the kyoki akshara bhabhi ka music unki life me tha

Manjiri- janti hu tu sahi keh raha hai...akshu ke jaisa koi nahi hai...lekin arohi se ham sab umeed toh kar sakte hai na

Neil- arohi kabhi akshara bhabhi jaisi nahi ban sakti...bhabhi ne bhai ke liye apna career sacrifice kar diya...yaad hai na aapko maa

ONE SHOTSWhere stories live. Discover now