SWARAGINI:- SWASAN

2.1K 78 3
                                    

It starts when raglak did swasan's shraadh.

In bose house

Swasan sujata ram uttara and sharmishtha were sitting. All were sad and broken due to recent happenings.

Ram- ab aage ka kya socha hai sanskar...tu mujhse madad le nahi raha...mujhe sujata aur uttara ko tere sath rehne nahi de raha...chahta kya hai tu

Sanskar blankly- sochna kya hai dad...history repeats itself...vajah chahe alag ho par situation same hai...jab maine ghar choda tha tab jaise sab kiya tha vaise hi ab bhi karunga

Sujata- par tab tu akela tha...ab tujh par swara ki zimmedari hai

Sanskar looks at swara- janta hu mom...aur shayad kahi na kahi mujhe pata tha ki aise haalaat ek din zaroor banenge...isliye karma ko maheshwari industries me merge karne ke baad bhi maine karma ko akela nahi choda...jab maine karma merge kiya tha usme ek clause tha ki agar future me kisi personal dispute ki vajah se ham alag hote hai toh karma par mere alawa kisi ka hak nahi hoga...karma is still mine...aur vaise bhi itne waqt me karma ke sahare jo maheshwari industries ne profits kamaye hai vo kaafi hai

Ram nods- toh tu bhaisa se kab baat karega

Sanskar- main nahi baat karunga dad...ab jo karega vo mera lawyer karega

Sujata emotionally- sanskar tu kyo hame sath rehne nahi de raha

Sanskar holds her hand- mom main bhi aapke sath rehna chahta hu par aap dad ke baare me sochiye...vo puri zindagi bade papa ke sath rahe hai...vo unke bina nahi reh sakte...aap jante ho ye

Ram- mujhe koi dikkat nahi hai sanskar

Sanskar looks at him- really dad...apne dil par haath rakh kar kahiye ye...main janta hu ki aap bade papa ko nahi chod sakte...especially vo adarsh aur laksh ke sath...and mom...uttara...aap uske baare me sochiye...kitni mushkil se usne apna career start kiya hai...main nahi chahta vo use ruin kar de...aur fir ham connected rahenge na

Ram holds sujata's shoulders and nods. Sujata hugs sanskar.

Sanskar breaks the hug and looks at swara- main aur swara mumbai jayenge...vaha meri kayi properties hai aur karma ka head office bhi...main vahi se operate karunga (looks at Sharmishtha) maa aap aur ayush bhi chalenge hamare sath

Sharmishtha- nahi sanskar...maine puri zindagi pyaar ke naam par barbaad kar di...naa ek acchi beti ban payi aur naa hi maa...lekin ab dono farz nibhana chahti hu...main ayush ko lekar banaras ja rahi hu...maa ke paas...aur ab vahi rahungi (smiles looking at swara) main janti hu swara ka dhyaan rakhne ke liye tum ho...tum use meri zaroorat kabhi padne hi nahi doge

Swara- par maa...

Sharmishtha interrupts- nahi swara...mujhe ab apni zimmedariyo ko nibhane de

Sanskar nods- maa aap jaisa chahti hai vaisa hi hoga lekin apni zimmedariyo ke beech ye mat bhul jaiyega ki meri aur swara ki bhi zimmedari hai aapka dhyaan rakhne ka

Sharmishtha smiles and nods. Swara hugs her.

Sanskar looks at sujata and ram- aap log chale jaiye vapis ghar...aur please apna dhyaan rakhna...and don't forget...ki aapka beta aapke sath hamesha hai

Ram and sujata nods. They hug sanskar. They break the hug and sanskar wipes sujata's tears. Uttara comes near them. Sanskar sees her and hugs her. Uttara cries hugging him. Sanskar kisses her forehead.

Sanskar- khoob man laga kar kaam karna...aur kisi bhi cheez ki zaroorat ho toh yaad rakhna ki ek bhai hai tera

Uttara crying- aap tension mat lo...har mahine apni shopping ka bill aapke paas bhej dungi

ONE SHOTSWhere stories live. Discover now