YRKKH:- ABHIRA

2.7K 130 13
                                    

It starts when kairav got to know about the problems between abhimanyu and akshara and he questions abhimanyu in the hospital.

............................................................................

Kairav was holding Abhimanyu's collar. Akshara manish and neil try to separate them. Abhimanyu and Kairav were glaring each other.

Abhimanyu calmly- kairav chodo mujhe...this is a hospital...let's not create a scene

Kairav angrily- aur jo meri behen ki zindagi me tumne itna bada scene create kar rakha hai...uska kya

Akshara begs kairav- bhaiya please...chod dijiye (joins her hands) bhaiya please (cries helplessly)

Abhimanyu and kairav look at her. They didn't like it when she joined her hands. Kairav immediately left the collar and looks away to calm his anger.

Abhimanyu irritatedly lowers akshara's joined hands- neeche karo haath

Akshara cries.

Kairav looks at akshara- akshu chal mere sath ghar (glares at abhimanyu) apne ghar...jaha koi tujhe nahi rulayega

Abhimanyu and akshara look at each other.

Manish sternly- kairav...bas karo

Kairav- par bade papa.....

Manish interrupts sternly- itne bade nahi huye ho jo tum mujhe sikhaoge...rishte kaise nibhate hai mujhe tumse seekhne ki zaroorat nahi hai (kairav gets quiet) aur rahi baat akshara ki toh shaadi ke baad ladki ka asli ghar uska sasural hi hota hai...betiya maayke aaye...kuch din sabke sath khushi se rahe aur fir vapis apne ghar jaye...yahi reet hai aur bilkul sahi reet hai...akshara bhi yaha se seedhe apne sasural jayegi

All are shocked hearing manish. Akshara lowers her head while abhimanyu looks at manish.

Kairav shocked- par bade papa...itna sab hone ke baad bhi aap akshu ko dobara us ghar me bhej rahe hai

Manish- vo tumhari behen ka ghar hai...problems har ghar me hote hai...par uska dhindhora nahi peeta jata...ghar me baith kar suljhaya jata hai...samjhe

Swarna- manish ji bilkul sahi keh rahe hai...pati patni ke beech ki baat hai aur vo unke kamre ki chaar deewari me hi rehna chahiye...akshu baat kitni bhi badi kyo na ho...is tarah ghar chod kar aana...ye bohot galat hai...mujhe tumse aisi umeed nahi thi

Akshara couldn't meet eyes of anyone. Abhimanyu wasn't liking that everyone were only blaming akshara.

Mahima- ab ye bataoge ki aisa hua kya tha ki akshara ghar chod kar chali gayi...shadi ko ek mahina nahi hua aur naubat yaha tak aa gayi ki tum dono ek sath ek chat ke neeche tak reh nahi sakte

Abhimanyu loudly- bas kijiye aap sab...jhagda ham dono ke beech hua hai...aur agar akshu ghar chod kar gayi toh maine bhi use roka nahi aur naa hi use vapis lene gaya...so please stop blaming akshu for everything...aur ye ham dono ka matter hai...ham milkar handle kar lenge...as a man and wife...aap sab interfere karna band kijiye

Kairav- interfere karte bhi nahi agar ye matter sirf tum dono ka hota...par jis din akshu tumhara ghar chod kar aayi...us din se families bhi involve ho gayi hai (looks at akshara) aur akshu tu...jis din tu ghar aayi thi aur aate hi bhaag kar mujhe hug kar liya tha...zor se...mujhe tab hi samajh aa gaya tha ki zaroor kuch hua hai...tu hamesha hasti rahi...chup kar roti thi...par tera bhai hu...tujhe tujhse zyada janta hu...sawan milni me teri laal aankhein dekhi thi maine jab manjiri aunty abhimanyu ke bagair aayi thi...par tune hamesha mere sawal taal diye...kyo kiya aisa tune...pehle bata deti toh ye sab hota hi nahi...baat tabhi khatam ho gayi hoti

ONE SHOTSWhere stories live. Discover now