ANUPAMA:- MAAN

1.3K 63 4
                                    

It was the wedding day for anupama and anuj. Kinjal and pakhi and were helping anupama to get ready while makvika and devika were helping anuj.

............................................................................

In anupama's room

Kinjal sees anupama lost somewhere and the happiness of getting married to anuj wasn't seen on her face.

Kinjal- pakhi...tum please jakar samar aur toshu ko dekh logi...vo dono tayyar huye ya nahi

Pakhi nods- ji bhabhi

Pakhi leaves. Kinjal sits in front of anupama.

Kinjal- mummy...kya hua...aap lost kyo ho

Anupama looks at kinjal and nods in no- nahi toh

Kinjal- koi baat toh hai mummy...aap mujhse share kar sakte ho...jab bacche pareshan hote hai toh vo apni maa ke paas chale jate hai...toh jab maa pareshan hoti hai toh vo bhi apne baccho ke paas ja sakti hai

Anupama sighs and holds kinjal's hand- mujhe bohot bohot dar lag raha hai

A tear escapes from her eye.

Anupama- itne dino se shadi ki rasmein chal rahi thi...accha lag raha tha ki main anuj ki hone ja rahi hu...par ab dar lag raha hai...beeti saari baatein baar baar aankho ke samne aa rahi hai...jo meri pehli shadi me hua hai...uske baad toh shadi ke naam se dar lagne laga hai...aur aaj ye dar bahar nikal ke aa raha hai...bahar mandap par jane ki himmat nahi ho rahi (looks at her dress) aisa hi shadi ka joda pehna tha maine jis din meri puri zindagi barbaad ho gayi...jis din mujhe mr shah aur kavya ke baare me pata chala...main janti hu ki anuj mr shah jaise zara bhi nahi hai...par pata nahi kyo dar lag raha hai...samajh nahi aa raha kyo lekin dar lag raha hai

Kinjal smiles- aapke is dar ka ilaaj hai mere paas mummy

Anupama looks at kinjal being confused. Kinjal points at the entrance. Anupama is shocked seeing anuj standing there in his wedding dress. Anupama stands. She wipes her tears. Kinjal holds anupama's hand.

Kinjal- mummy mujhe kal raat se hi aapko dekh kar lag raha tha ki kuch toh hai aapke dil me...isliye maine anuj ji se kaha ki vo aapse ek baar baat kar le (looks at anuj) main bahar jati hu

Anuj nods. Kinjal leaves. Anuj closes the door and comes near anupama. He makes her sit while her head was low.

Anuj takes a deep breath- anu...darna galat nahi hota...dar sabko lagta hai...ab mujhe dekh lo...pehle tumhare milne ki umeed nahi thi toh dar nahi tha...aur ab jab umeed mili hai toh tumse door jane se dar lagta hai

Anupama looks at him- maine khud ko samjhane ki bohot koshish ki aur main aapse shadi karna chahti hu par bas mandap par jane ki himmat nahi ho rahi...shadi ka joda pehen kar vo din yaad aa raha hai jab....

She stops not wanting to remember it.

Anuj- us din tumhe tumhari zindagi ka sabse bada dhokha mila tha anu...isliye tumhe shadi se dar lagne laga hai...par aaj main tumse vaada karta hu ki isi shadi shabd ko main tumhare liye sabse zyada khubsoorat bana dunga...tumhe fir se bharosa hone lagega...tumhe yaad hai anu...tumne mujhse kaha tha ki tum ab apni zindagi me koi jeevansaathi nahi chahti...lekin dekho tumne jeevansaathi chuna...aur jaise maine tumhara vo dar nikala i promise main ye bhi nikal dunga...mujhe ek mauka dogi

Anuj forwards his hand in front of her. Anupama looks at him with teary eyes and holds his hand. Anuj smiles. Anupama hugs him. Anuj caresses her hair. Later he takes her outside holding her hand.

In hall

The mandap was set. Anuj and anupama comes.

Leela- lo batao...are dulhan ko uski maa aur behne lene jati hai...dulha nahi

ONE SHOTSWhere stories live. Discover now