3rd person's p.o.v:-
"Suna hai zameen allot karwayi hai aapne capital ke downtown mein" Chief Minister ne ab uss se poochen ke andaaz mein kaha tha halanke sabko maloom tha wo ye sab jaante hein, unki baat par Haider ne bina jawaab diye sarr asbaat mein hilaya tha wo samajh gaya tha ye zameen ke badle kuch chahta hai lekin wo uski mukammal baat sun ke"Jee, zaati istemaal ke liye nahi li, wahan ek makhsoos project karne ka iraada hai"
"Lekin faida aapka bhi tau hai"
"Beshak, aakhir buisness partnership hai"
"Zara humein bhi tau banaiye partner, kaam aayein ge aapke, Haider sahab" usne chupe alfaaz mein ab zameen ki illegal hissaydaari ki paishkash ki thi tau Haider tanziya muskura diya
"Isme tau koyi shaq nahi hai lekin shayad mein aapke liye kaaraamad na ho sakoun" une samajhdaari se inkaar kiya tha
"Ye tau aapki aajizi hai, ab mujhe he misaal le lijiye mein har kisi ke daftar mein youn nahi jaaya karta"
"Bohat nawazish, khairiyat se pooch rahay they project ka?" Haider ne ab tang aatay seedha kaam ki baat par aatay huye kaha tha aur saath he chupke se table ke neeche rakhe apne mobile se recording on ki thi
"Zameen ka kuch hissa- ziada nahi, bus yehi 35-40% humein de dein"
"Lekin humne tau media ko news dedi thi, ab achanak se jagah kam huyi tau sawaloun ka jawab kon dega?" Haider ne pur-sakoon andaaz mein kaha tha
"Sawaal honge tau jawabaat ki nobat aaye gi na" usne dabbay lafzoun mein apne tareeqoun se darra dhamka ke media ko khamosh karne ka kaha tha
"Social Media ka dour hai, kis kis ko chup karwayinge? Aur maaf ki jiyega lekin hamare buisness ki izzat ka sawaal hai aur ispe koyi harf uthe ye mein afford nahi kar sakta"
"Yaani aap mujhe inkaar kar rahay hein? Maini jaante hein iss baat ka" Usne dhamki-aamez lehje mein kaha tha
"Aap mujhse keh rahay hein ke mein aapko apni cheez dene se inkaar nahi kar sakta? Aap jaante hein aap kiya keh rahay hein" Haider ne bhi ab usse khabardaar karte kaha tha
"Itna ghuroor acha nahi hota"
"Gharoor nahi tajurba hai"
"Chaliye phir dekh lete hein aapka 'tajurba' kaam aata hai ya.." usne kehte kehte maanikhez khamoshi ikhtiyaar karli thi
"Maqsad tau hum dono ka ek he hai Rafeeq Sahab, dono he mulk ki taraqi chahte hein bus raaste mukhtalif hein, Allah mulk ke liye behtar kardein bus, Ameen" Haider ne tanz karte kaha tha
"Mein chalta houn meri ek aur meeting hai" uski baat sun ke wo binawati muskurahat dete uth kharay huye
"Allah Hafiz" Haider bhi apna haath unki taraf barhaate unse mila tha phir unke jaanay ke baad doobara apni kursi pe bethte ab ab apne phone ki taraf mutawajah hua tha jispe Zuhair ki call aa rahi thi, phone silent se hatatay usne ab call attend ki thi
"Assalamualaikum" Haider ne ab phone kaan se lagatay salaam kiya tha
"Waalaikumassalam, kesi rahi meeting? Mana kar diya?"
"Haan kar diya, kuch ziada khush nahi huye mujhse mil kar lagta hai" Haider ne tanziya andaaz mein muskuratay kaha tha tau Zuhair dheema sa hass diya
"Khair ye details baad mein bataoun ga In Sha Allah, tum sunao khairiyat se call ki thi?"
"Haan wo jaldi se ghar pohancho!" Zuhair ko foran jaise call ka asal maqsad yaad aaya tha tau Haider ab apna saamaan uthata khara ho gaya kiyonke Zuhair amooman aesa nahi karta tha
"Hua kiya hai?"
"Phupho Raheela aanay wali hein, raaste mein hein" uski baat sunte he Haider waapis kursi pe beth gaya tha, ye unki ikloti phupho thein, unke maa baap ki wafaat ke baad Haider aur Zuhair akele apni daadi, jinhe pyar we wo bi-jaan kehte they unke saath rehte they, kuch unke kaam ki noiyat he aesi thi ke wo dono kam he apne khaandaan se milte they, lekin iske bawajood unke rishtedaar aksar unse milne aatay they aur aese mein wo apne maa baap ki tarbiyat ka paas rakhte huye hamesha achi tarah milne ki kohshish karte they, lekin unki ye phupho, waise tau bohat achi khatoon thein lekin unn dinon wo jab bhi miltein thein koyi na koyi naya rishte zehen mein le kar aati thein aur mana karna aksar unn dono ke liye mushkil ho jaata tha aur ye baat avoid karne ke liye wo aaj kal unse kam se kam milna he pasand karte they
YOU ARE READING
Soz
ChickLitBook roman urdu mein hai - With an influential mark in the country and their strong-headed nature Haider and Zuhair Yazdaani knew the ins and outs of the system better then most, having been in the buisness-they lost both their parents to- they were...