16. Tamasha

24 3 7
                                    

3rd person p.o.v:-
"Khairiyat aaj itni jaldi aa gaye aap?" Hairaani se Haider ko itni jaldi ghar dekhte Zaira ne poocha tha, din ke do bajay tau amooman Haider office mein kaam mein masroof hota tha aur usse iss waqt ghar mein dekhna kisi surprise se kam na tha

"Jee wo humein gaoun jaana hoga do din ke liye, sorry aapko call nahi karke mujhe pehle inform karna chahiye tha bilkul zehen se he nikal gaya" Usne Zaira ko aadhi baat batatay kaha tha, iss sab ke beech se apni

"It's ok, par itni achanak?"

"Wahan mujhe kisi se milna tha aur bi jaan keh rahein thien ke wahan hamare jananay walay aapse milna chahte hein tau aapko bhi le chaloun" Uski baat pe Zaira mehez sarr asbaat mein hila di lekin iss se pehle ke wo koyi jawaab deti darwaazay pe mulazim ko knock karta dekh kar wo dono khamosh ho gaye thi

"Wo Haider saab aapse milne koyi shakhs aaya hai"

"Kon?"

"Chief Minister Sahab ke bete Sohail Rafeeq Sahab aaye hein"

"Mein aa raha houn, aap jayein" Haider ne usse wahan se bhejte kaha tha phir apne aur Zaira ke kamre ka darwaaza band karte wo uski taraf murra tha tau Zaira ab bemaqsad ek jagha pe nazrein jamaye apni sochoun mein kho gayi thi, uski nazroun mein iss baar ek chupa hua khouf Haider ne bhaanp liya tha, abhi wo kuch kehne he laga tha ke uske phone pe call aayi thi jisse ignore karte usne apna phone ab table pe rakha tha aur Zaira ki taraf barhte uss se chand qadam ke faasle pe aa kar theher gaya tha, wo usse tasalli dena chahta tha lekin uske paas tasalli ke koyi alfaaz na they

"Aapse waada kiya tha ke woh aapka kuch nahi bigaar sakay ga, bharosa karein mujhpe, kuch bhi ho jaye, wo kuch bhi karle, aap par harf nahi aanay doun ga" Usne ab pur aitemaad andaaz mein kaha tha phir uske sarr asbaat mein hilanay pe ek aakhri nazar uss par daalta wo wahan se chala gaya tha ke Zaira ki uski nazar Haider ke phone pe parri thi jo wo jaldi mein waheen bhool gaya tha, uska phone hath mein lete usse ab unki guftago jananay ki bechaini ho rahi thi lekin wo nahi jaanti thi wo kiya karay, kamre se baahir nikalte wo ab living room mein ja rahi thi jab usne ek ncb(ghar ke mulazim) ko juice le kar drawing room ki taraf jaatay nazar aaye they, foran dimagh mein tarqeeb aatay usne usse roka tha tezi se apne number se Haider ke number pe call ki thi aur uske phone se attend karte usne ab screen off karte Haider ka phone uss ncb ko diya tha,

"Ye Haider Sahab ka phone hai, ye mehmaan bohat khaas hein kuch kehna nahi bus khamoshi se phone Haider Sahab ke paas walay table pe rakh dena theek hai" Usse samjhaatay ab Zaira ne usse bheja tha phir uske jaanay ke baad apna phone kaan se lagatay wo ab apne kamre mein chali gayi thi aur phone se unki baatein sun rahi thi

"Shukriya" phone ke table pe rakhne ki awaz aur uske baad Haider ki acknowledgment mein uss ncb ke shukriya karne ki awaaz thi aur uske baad ek lambi khamoshi chaa gayi thi, Zaira apni side ka speaker mute karte ab poori tawajo se unki baatein sun rahi thi

"Kaisi lagi video?" Sohail Rafeeq ne smirk karte Haider se poocha tha tau wo tanziya hass diya, ussi subha Sohail Rafeeq ne media pe ek khabar chalwaanay ki kohshish ki thi ke Zaira Haider se pehle uss ke saath involved thi, wo video manzar e aam pe aatay he Haider ne media se hatwa li thi lekin wo jaanta tha ke ye buss shurwaat thi aur kiyonke Chief Minister uske saath meeting karne pe maan nahi raha tha issi liye wo Zaira ko le kar do din ke liye gaoun jaana chahta tha, remotely cheezoun ko dekhna chahta tha kiyonke wo Zaira ko iss sab se poori tarah aashna nahi karwaana chahta tha

"Bachkaana" Usne calm rehte jawaab diya tha

"Tabhi maaray maaray phir rahay ho" Usne Haider ke foran ghar aanay ki taraf ishaara karte kaha tha tau Haider tanziya muskura diya

"Hairat hai phir bhi bina appointment tumhe aanay ki zaroorat parri hai, khair baatein tau youn bohat taweel ho saktein hein par kaam par aatay hein, kiya chahte ho?"

SozWhere stories live. Discover now