3. Harf

31 2 1
                                    

3rd person's p.o.v:-
"tumhara pehla field experience kaisa raha?"

"Kiya bataoun yar, intelligence mission tha, simple baat cheet wala plan tha end time pe sab change ho gaya, mein wahan gayi aur unka leading officer- Uff Zaira kiya bataoun mein tumhe uske baaray mein, pehle tau usne mujhe darra diya- theek hai mujhe aware hona chahiye tha apne ird gird ka lekin phir bhi! Aur upar se- maana apne kaam mein acha tha lekin itna kharoos! Usne interview ke liye saaf inkaar kardiya!"

"Kaash mein tumhare expressions dekh sakti jab wo tumhe mana kar raha hoga, zinda kaise bach gaya tumhe inkaar karke" Zaira wo lamha imagine karte huye phir dramayi andaaz mein kehte hassi thi

"Ab itni bhi khoonkhwaar nahi houn mein-, upar se pata hai inteha ka mysterious bhi tha usne mask pehna wa tha aur voice changer bhi lagaya wa tha, pata nahi samajhta kiya tha khud ko deda ek interview meine konsa national secrets ugalwa lene they"

"Itna soche ja rahi ho uske baaray mein? Are you sure sirf professionalism he hai?" Zaira ne ab usse chera tha

"Nahi pyaar ho gaya hai mujhe" Alaya ne tanziya torr pe kaha tha tau Zaira ne mazeed cherha tha

"Ho bhi sakta hai, 'Love at first sight'" Zaira ne ab bhi baaz na aatay kaha tha tau Alaya ne saath parra pillow utha kar uski taraf phenka tha

"Mera A+ aatay aatay reh gaya uski wajah se! Aur tum chali pyar karwaanay" Alaya ne ab tak ghusse mein uske baaray mein sochte kaha tha apne andar uski shakhsiyat ko le kar ubharte tajassus pe parda daalte
- - -

"Kiya hua hai tumhe? Aese kiyon khamoshi se dekhe ja rahay ho" Zuhair ne apni nazrein phone pe rakhte huye poocha tha tau Haider nervousness chupaatay muskura diya tha, zindagi mein pehli baar wo Zuhair ke saamne nervous hua tha, kiyonke wo jaanta tha Zuhair ko iss baat ke liye raazi karna paray ga

"Important baat hai" Haider ne sanjeedgi se kaha tha tau Zuhair bhi apna phone side pe rakhte huye uski taraf murra tha

"Mein kisi se shaadi karna chahta houn aur tumhe kal mere saath chalna hoga unke waalid ko mananay ke liye uske baad hum bi-jaan ko le kar jayein ge formally rishta lene ke liye" Haider ne sanjeeda lehje mein lekin ghabraatay ek he saans mein kaha tha tau Zuhair hairaani se yakdum uth khara hua tha

"Tum mazaak kar rahay ho!"

"Kabhi aesa mazaak kiya hai maine?"

"Yaani tum keh rahay ho ke tum kisi se shaadi karna chahte ho- mujhe ye sun kar khushi hoti par mein chah kar bhi nahi maan sakta ke tum serious ho, agar sach keh rahay ho tau mein jaanta kiyon nahi houn? Pehle tau kabhi zikar nahi kiya"

"Aaj he mila houn pehli baar"

"Itni pasand aa gayi ke pehli mulaqaat ke baad he shaadi ka faisla kar liya?"

"Compatible lagi"

"Ek he mulaqaat mein itni understanding bhi ho gayi?" Zuhair ne ab tanziya andaz mein kaha tha tau Haider gehra saans lete ek lamhe ko aankhein band karke beth gaya

"Tum ja rahay ho ya mein akele jaoun"

"Ye nakhre kisi aur ko dikhaana, pehle jawab do meri baatoun ka, batao kon hai"

"IB Chief Waleed Waris ki beti" Haider ki baat sun kar uss kamre mein ek dum khamoshi ho gayi thi, Zuhair apni aankhoun ke beech jagah apne haath se masalta khamoshi se uss kamre mein idher se udher chal raha tha aur Haider bhi chup reh kar usse dekh raha tha, wo usse mazeed ghussa nahi dilaana chahta tha

"Haider- tum shaadi karna chah rahay ho ya buisness partnership" Zuhair ne khara sawaal kiya tha, tau Haider ne eyebrow raise karte usse dekha tha, ye baat Zuhair ke ilawa koyi karta tau usay na gawaar guzarti lekin wo jaanta tha ke Zuhair sirf uski parwah mein aesa keh raha hai

"Tumhe lagta hai mein sirf business ke liye aese kar sakta houn?" Haider ne beyaqeen lehje mein kaha tha

"Nahi par mein ye bhi nahi maan sakta ke tumhe achanak ye Chief Minister wala scenario ke hafte baad Intelligence Bureau ke Chief ki beti se muhabbat ho gayi hai" Zuhair eye roll karte ab doobara uske saamne walay sofay pe beth gaya tha

"Unki beti ki razamandi shaamil hai isme"

"Ye tum na batatay tab bhi tumhe jaanta houn mein lekin phir bhi-, tum jaldbaazi mein aa kar tau nahi yeh faisla kar rahay, soch lo,"

"Bohat soch samajh kar ye faisla liya hai maine aur trust me faida one sided nahi hai"

"tum bohat barra risk lene ko keh rahay ho aur phir- zindagi mein kam rishte rakhne ka maqsad he yeh tha ke jo hein wo tau waqai apne rahein, rishtoun ki sodaybaazi humein zebb nahi deti Haider" Zuhair ab apna sarr haathoun mein de kar sochne laga tau ab Haider bhi uske saath ja betha tha

"Zaroori tau nahi ke har shaadi ki bunyaad sirf muhabbat ya dastoor ho aur inke ilawa har rishta doghla he ho, phir chahay dil ki khuwahishaat na sahi lekin zaroorat ke naatay he jura ho lekin aakhirkaar rishte nibhaanay ke liye neeyat, izzat aur khuloos chahiye hota hai, wo sab tau dene ko tyaar houn mein aur ye sab ho tau baqi kuch maine nahi rakhta hai" Haider ne usse apne nazriya bataya tha tau Zuhair ne uski baat se mutafiq hotay sarr asbaat mein hilaya tha

"kal shaam ko chalein ge" Zuhair ne bazahir sanjeedgi se kaha tha lekin uske chehre pe bhi ek baraye naam muskurahat aa gayi thi tau Haider bhi uski baat sun kar muskura diya

"By the way, Naam kiya hai unn bechari ka jinke qismat ke sitaray gardish mein parr gaye hein" Zuhair ne ab apne normal mood mein aatay mazaak kiya tha tau Haider ne uske sarr pe chapat lagayi thi lekin phir dheema sa haste jawab diya tha

"Zaira naam hai"

"Zaira Waleed- waise tau jaanta houn par abhi pichle dinon meine kaheen naam suna hai, kahan- haan! Chief Minister ki honay wali bahu-! Haider pehle hamari zindagi mein thrill kam tha?" Zuhair ne ab thakan se aankhein bande karte sarr peeche taik lagatay we shikayati andaaz mein kaha tha

"Koyi nahi thora aur sahi"

"Ye tumhare badle badle rawaiye sab samajh raha houn" Zuhair ab usse cherte muskura diya,

"Ghalatfehmi hai tumhari aur kuch nahi"

"Haan khud ko yaad karatay raho, shayad yaqeen aa he jaye tumhe, mujhe tau nahi aanay wala" Haider usse jawab dene he laga tha ke itne mein unke ghar mein kaam karne walay ek mulazim Aqib knock karte living room mein daakhil hua tha

"Sir wo bi jaan ke driver ki call aayi thi, wo log aur aadhe ghante mein pohanch rahay hein"

"Jee theek hai aap unka kamra waghera Bano se kahein ek baar phir dekh lein, sab kuch apni jagah par ho" Zuhair ke kehne pe wo wahan se chalay gaye they

"Mein zara kal ki meetings ka schedule dekh loun" Haider uske chehre se na jaanay wali cherti muskurahat ko dekh kar uski pichli baat ignore karte huye khara ho gaya tha tau Zuhair bhi waise he muskrata ab sarr nafi mein hilatay apne phone ki taraf murra tha, woh Haider ke liye ek taraf bohat khush tha aur doosri taraf utna he fikarmand bhi, lekin uske liye dil he dil mein duaein maangte ke wo jo qadam uthanay ja raha tha wo uske haq mein behtareen ho, uss lamhe mein woh har khouf aur khushi ke saath saath wo Haider ke liye pur umeed tha

Waheen Haider ke jazbaat bhi shayad alfaaz mein bayaan karne mumkin nahi they, uske zehen mein laakhoun sochein ek waqt mein chal rahi thein, usne khud ek bohat barra mahaaz khol liya tha apne liye aur iss baar uska taaluq sirf uski professional zindagi nahi balke uski zaati zindagi se bhi tha aur ye shayad yehi ek baat thi jo usse itna ghabra rahi thi, lekin dil mein Allah se behtari ki duaein maangte dil ke kisi surmai konay mein wo aanay walay kal ke liye pur umeed bhi tha
—————

ASSALAMUALAIKUM FAVESSSSSSS!! Late update ho gayi thori si I'm sorry tabiyat thori kharab chal rahi hai lekin yar-
your votes and comments>>>>>>>>>>
I LOVE YOU GUYS SO MUCH THANKYOUUUU SO INCREDI INFINITELY MUCH FOR ALL THIS LOVE! Means the absolute most to me sachi mein! please do keep voting and commenting and interacting with me can't tell yall how much I value it!
IA bohat jald next chapter bhi aa jayegaa, Allah Hafiz for noww 💕

SozWhere stories live. Discover now