7. Dahr

29 3 8
                                    


3rd person p.o.v:-
"Haider mein ja raha houn!" Zuhair ne apna voice changer apne mask ke saath attach karte, apna mask pehente kaha tha tau Haider bhi apna kaam chorte uss se milne uth gaya tha

"Kab tak aao ge?"

"Sensitive mission hai, kuch keh nahi sakta" Usne Haider ke kandhe pe haath rakhte kaha tha, wo dono bhai jab bhi ghar se lambe safar par jaatay they tau hamesha ek doosre se mil kar jaatay they, shayad apne waalidein se aakhir mein na mil paanay ki khalish thi aur maazi ke khud ko duhranay ka darr

"Jaise he khatam ho-"

"-Tumhe call kardoun ga" Zuhair ne jumla mukammal karte kaha tha tau wo muskura diya

"Chalo ab mein chalta houn dair ho rahi hai" Usne ab apna mask pehente doobara Haider ko dekha tha phir wo dono ghar ke main door ki taraf barhe they

"Allah Hafiz" Apas mein gallay milte Zuhair ab apni gaari mein bethta wahan se chala gaya tha

"Assalamualaikum Sir!" Brig Wazeer ke office mein daakhil hote usne salute karte unhe salaam kiya tha

"Waalaikumassalam young man, how are you?"

"Alhamdulillah fine sir"

"Have a seat" unke kehne pe Zuhair unke table ke saamne wali seat pe betha tha

"Thankyou aap aa gaye itne short notice pe" Unhone Zuhair ka shukriya adaa kiya tha tau wo muskura diya, Zuhair baqi army officers ki tarah nahi tha, lekin wo aur Haider bachpan se he prodigies maanay jaatay they apni intelligence aur critical thinking ki bina pe, Zuhair ko chonke ye shouq bhi tha iss liye wo Army mein tha tau sahi lekin wo full time job nahi karta tha, usse sirf ehem missions pe bulaya jaata tha aur na sirf ye, wo buisness circle mein reh kar jo contacts rakhta tha wo aksar high profile attacks ke peeche chupe logoun ko dhoondhne mein kaam aatay they

"Sir please aap mujhe sharminda na karein, ye tau mera farz tha" Uska jawab sun kar wo muskura diye phir Captain Armaan ne aa kar unhe mission plan par brief kiya tha, phir wo khatam hote he wahan se baahir nikle tau doosre kamre mein Alaya ko intezaar karte dekha Zuhair-jisne ab takk senior ki respect mein mask utara wa tha, ab foran mask pehente uski taraf murra tha, phir hamesha ki tarah apni sakht awaaz mein sarsari sa salam kiya tha

"Assalamualaikum"

"Waalaikumassalam" Alaya ne politely muskuratay jawab diya tha

"Tyaar hein aap?" Zuhair ne phir sawaal kiya tha

"Jee"

"We'll leave in 20 minutes, aapko tab tak kuch chahiye tau- Subehdaar Sahab, khayal rahay inhe kisi cheez ki kami na ho"

"Jee Sahab" Jawaan ne jawaab dete kaha tha tau Zuhair nod karte kamre se baahir nikal gaya tha itne mein saamne se uske senior aur uske bohat ek qareebi Colonel Riaz aaye they jo uske salaam ke jawab dene ke baad ab kuch kehne he lagay they ke itne se kamre ke andar se awaaz aayi thi

"Captain Harris"

"Jee" Captain Harris ke jawab ki awaaz aayi thi

"Aaj bhi mission yehi lead karein ge?" Usne apni taraf se halki awaaz mein baat ki thi lekin khirki khuli honay ke bais unn dono ne sun li thi

"Jee Zuhair sir he lead karein ge"

"Ya Allah Khair, acha mind mat ki jiyega lekin inka mizaaj hai he aesa ya mujhe dekh ke ho jaata hai?" Uske sawaal pe ab Colonel Riaz hass diye jabke Zuhair ab sharmindagi se apni gardan par haath phairte nazrein doosri taraf morr chuka tha, Colonel Riaz ye dekhte usse saath baahir chalne ka ishaara karte usse wahan se le gaye

SozWhere stories live. Discover now