12. Shaq

19 1 0
                                    

*2 days later*
3rd person p.o.v:-
"Major Zuhair"

"Jee" Zuhair jo ke Alaya ke saath apne boss ke kamre mein briefing dene gaya wa tha ab wapis apne office ki main building ke andar ja raha tha ab apne peeche se Alaya ki awaaz sunte uski taraf murra tha

"Mujhe aapse kuch baat karni hai, akele mein" Alaya ne ird gird dekhte huye kaha tha wo ek lawn mein moujood they aur wahan unke ilawa kayi soldiers apni duty de rahay they, uski baat pe tajassus aur confusion se dekhte lekin phir usne apne office ki taraf ishaara kiya tha, uske chehre pe hamesha ki tarah aaj bhi mask moujood tha,

"Jee please, kahiye kiya baat hai" Zuhair ne ab uske peeche apne office mein aatay apni kursi pe bethte kaha tha

"Wo jo ek wahid missing link bach gaya tha, koyi ghadaar, koyi apni side ka jo unke saath mila wa tha"

"Bilkul yaad hai"

"Wo mil gaya" Alaya ne beghair chehre pe kisi taasuraat ke kaha tha

"Kon?" Uske sawaal pe Alaya tanziya muskurayi thi jisse dekh kar Zuhair aur confuse hua tha

"Aapko kisi pe shaq hai?" Alaya ki awaaz mein aaj ek ajeeb karwahat thi jiski wajah ka Zuhair andaaza nahi kar pa raha tha

"Shaq tau har kisi pe hota hai aese mouqoun par, aap batayein kon hai wo?" Zuhair ne sanjeedgi se jawab diya tha

"Poochne ki baari tau meri hai Major Sahab, ke kitne ki boli pe bikkay aap?" Alaya ne ab ghusse mein lekin nehayat pur itmenaan lehje mein kaha tha tau Zuhair uska ilzaam samajh kar ek lamhe ko jaise tesh mein aa gaya tha, lekin apni awaaz ko qaabo mein rakhte usne dheemi awaaz mein lehkin sard mohri se jawab diya tha

"Aapko andaaz hai aap kitna barra ilzaam laga rahein hein"

"I'm an investigative journalist, bina saboot baat nahi karti" ye kehte usne apne bag se kuch tasaweer nikal ke Zuhair ke desk pe phainki thein tau Zuhair ne usse dekha tha phir unn tasweeroun ko, jisme uski shakal bhi saaf nazar aa rahi thi, aur phone pe parray uske phone pe jhalakta naam bhi,

"Uss din jab mein aapke office mein aayi tau aap mujhe expect nahi kar rahay they aur issi liye shayad ghalti se lekin ye phone bedehaani mein table pe reh gaya tha, ittefaqan ussi doraan jab aap report type karne mein busy they, aapka phone silent pe tha, lekin uss waqt ek call aayi thi, aur wo Abd Shahnawaz ka number tha, wo kiyon ek intelligence mission pe kaam karne walay major ko bilawajah apne khilaaf saboot ikhata hote he call karega? Koyi explaination hai aapke paas tau please?" Uski baat sun kar Zuhair ko apna galla sookhte huye mehsoos hua tha, wo fikarmand tha lekin unn wajoohaat ki wajah se nahi jo Alaya samajh rahi thi, wo usse bata nahi sakta tha ke wo Zuhair Yazdaani hai, uski duniya mein koyi dost nahi tha lekin taluqaat sabse rakhne parte they, lekin uss lamhe mein jaldi se sochte usse koyi aesa bahana na aaya tha jo iss baat ko justify kar sakay, dil he dil mein apni la parwahi pe khud ko kostay wo ab pehle se bhi ziada sanjeedgi se uss se mutawajah hua tha

"Agar mein uske saath mila hota tau mein aapki madad nahi karta uske khilaaf saboot dhoondhne mein"

"Jo mulk ka na ho sakay, apne half ka paas na rakh sakay wo kisi insaan ka kiya he wafadaar hoga? Aap jaante they ke youn aap par koyi shaq nahi karay ga, hum par nahi khud par ehsaan kar rahay they aap aur phir koyi wajah tau hogi uske aapse raabta karne ki"

"Mein aapko wazahtein dene ka paband nahi houn aur youn agar ek call pe mein ghadaar saabit ho sakta houn tau ye kiya guarantee hai ke aap ye sab iss liye nahi kar rahein ke aap par kisi ka shaq na jaye?" Zuhair jaanta tha ke wo kaam Alaya ne nahi kiya tha, ye mission intehai hasaas tha aur issi liye Alaya ki pichle maheenay ki har call pe kuch trigger words ke liye tape kiya ja raha tha, jab bhi wo unn alfaaz mein se kuch bolti thi, uska phone automatically record karna shuru ho jaata tha, lekin iske bawajood usse uss waqt iske siwa koyi chaara nazar na aaya tha, woh nahi chahta Alaya iss wajah pe ziada daer sochti rahay ya uss se bhi bad-tarr apne supervisor ya baqi kisi media ke shakhs ko iss muamle mein involve karay

SozWhere stories live. Discover now