3rd person's p.o.v:-
"Assalamualaikum" Zuhair ne apna phone apni closet ke beech moujood ek table ke upar set karte ab muskuratay Haider ki facetime pe aati call uthayi thi"Waalaikumassalam, kaise ho?"
"Mein tau theek houn, apni batao, sab kaisa hai? Zaira theek hai?"
"Haan Alhamdulillah, sab sahi hai, Zaira bhi theek hai"
"Aur tum?" Uske sawaal pe wo muskura diya tha
"Mein bhi theek houn, party pe jaanay lagay ho?"
"Haan bus ussi ke liye tyaar ho raha tha, batao konsi ghari left ya right?"
"Left" Haider ne ab camera ke qareeb aatay dekha tha tau itne mein Zuhair ne wahan se ghari nikal kar pehni thi aur phir uss se baatein karte karte apne kamre mein aata dressing table ke saamne khara hota apne baal brush karte usne ab perfume spray kiya tha phir wahan se hatatay aa kar sofay par beth gaya tha
"Tum batao, Bhahi ko kaheen ghumaanay le kar gaye ho, area dikhaya unhe?"
"Nahi abhi tak tau time nahi milla, kohshish hai ke aanay se pehle dikha doun"
"Haider wo kiya sochein gi"
"Kuch nahi soche gi, jaanti hai hum kaam pe aaye hein vacations pe nahi"
"Phir bhi, biwi hain wo tumhari"
"Biwi" Haider wo ek lafz duhraatay tanziya muskuraya tha, uske zehen mein Zaira ka usse tassali dete uske haath pe apna haath rakhna aaya tha, phir jaise foran khayal aatay wo ab izteraabti mein Zuhair ki taraf murra tha
"Samajh nahi aata kab ye lafz sach lagne lagta hai aur kab ek saraab" Haider ne ab apna dil halka karne ke anddaz mein uss se kaha tha
"Jitna uss se faasla rakhne ki kohshish karta houn utna he nahi rakh paata, jitna uss ke saamne khud ko zaahir nahi karna chahta, utna he uske saamne khuli kitaab hota houn, dil aur haqaiq ki jung mein zehen har waqt uljha rehta hai, uske saath hota houn tau bhool jata houn ke wo sab waqti hai, beth ke sochta houn tau guilt saans nahi lene deti ke usse dhoka de raha houn"
"Muhabbat karne lagay ho" Zuhair ne maanikhez andaaz mein dheema sa muskuratay poocha tha tau Haider ek lamhe ko saakat ho gaya tha
"Nahi jaanta, muhabbat bohat barra lafz hein lekin- uski qadar zaroor karne lag gaya houn" Usne izteraabi se jawaab diya tha
"Muhabbat aur zidd saath saath nahi chal sakti Haider, aur aese sach ka koyi faida nahi jo zindagi se khushiyaan cheen le"
"Tumhe lagta hai mein sab bhool kar uske saath nayi zindagi shuru karloun ga tau sab theek ho jayega?" Haider ne ab beyaqeeni se thakk kar poocha tha
"Mein ye jaanta houn ke tum jo abhi kar rahay ho iss se unhe aur khud ko dono ko aziyat mein daalo ge ek din"
"Ye aziyat kabhi ruki he kahan hai" Haider afsurdagi se muskuraya tha
"Tumhe qismat mouqa de rahi hai, uss se mounh mat phero"
"Farz karo maine jaanay diya footage wali baat ko, uske waalid apni beti ko rehne dein ge aese shaqs ke saath"
"Haan, baap hein wo, apni beti ki khushi ke liye wo kuch bhi karein ge"
"Aur agar na kiya tau?"
"Tau bhi kam az kam Zaira ko tau yaqeen hoga ke tum uske saath sincere ho" usne ab phir se usse samjhaatay bola tha tau Haider ab dil he dil mein ek kashmakash mein parr gaya tha,
"Iske bawajood agar Waris Uncle na maanay tau ye sab be-maini hai, usne apne waalid ko chuna tau? Aur mein jaanta houn wo unhe he chunay gi, hona bhi aese he chahiye, lekin mein tau khaali haath reh jaoun ga na"
YOU ARE READING
Soz
ChickLitBook roman urdu mein hai - With an influential mark in the country and their strong-headed nature Haider and Zuhair Yazdaani knew the ins and outs of the system better then most, having been in the buisness-they lost both their parents to- they were...