3rd person's p.o.v:-
"Assalamualaikum Sir" Haider ne IB Chief Mr.Waleed Wariz ke ghar ke drawing room mein daakhil hote salaam kiya tha, wo wahaan ek urgent meeting ke liye bulaya gaya tha, tau Waleed ne uski taraf murte uss se milay they phir usse bethne ka kehte, ek minute intezaar karne ka ishaara kiya tha, wo phone par kisi ehem call pe they*on call*
"Jee Rafeeq Sahab, In Sha Allah mein aaj he Zaira se pooch kar aapko bataoun ga" Unhe Chief Minister ke saath call pe baat karte kaha tha tau Haider ko ek lamhe mein andaaz ho gaya tha ke IB Chief Waleed Waris ne achanak usse kiyon bulaya tha"Mulaqaat hoti hai phir In Sha Allah, Allah Hafiz"
"Aap jaante hein aapko kiyon itna urgently bulaya hai?" Haider se mutawajah hote ab unhone seedha kaam pe aatay sawal kiya tha, na wo bila wajah ki tamheed ko pasand karte they aur na Haider ko usme koyi dilchaspi thi
"Itne saal ho gaye hein issi kaam mein, Andaaza hai" Usne rasman muskuratay jawab diya tha
"Kin chakroun mein parr rahay ho beta" Waleed ne ab kuch informal hote dheeme lehje mein kaha tha, wo andar se Haider ka bhala chahta tha lekin sahi aur ghalat ki jung mein aksar hamdardi se mufaad jeet jaata tha, khaas kar agar uss mufaad mein majboori ka unsar ho
"Aap kis walay ki baat kar rahay hein" Haider ne bhi halke andaaz mein lekin sanjeedgi se poocha tha
"Chief Minister sahab koyi ziada khush nahi hein aap dono bhaiyoun se"
"Unki khushi barbaadi se juri hai" Haider ne unki baat ko ziada foqiyat diye beghir kaha tha
"Aap dono bhaioun ka kaam qaabil e deed hai, aur issi liye isse meri official post ki taraf se threat se ziada ek hamdard mashwara samajh lo aur maan lo Minister Sahab ki baat"
"Mein aap ki bohat izzat karta houn lekin aap jo maang rahay hein wo mumkin nahi hai"
"Jawaan khoon hai ghotay maarta hai, lekin ek hadd se ounchi leher ho jaye tau uski haibat bohat kuch barbaad kar deti hai" unki baat par ab Haider tanziya muskuraya tha
"Yaqeen ki jiye, agar barbaadi meri neeyat hoti tau ab tak bohat kuch tabah ho chuka hota aur jahan tak rahi baqiyon ke hamara nuqsaan karne ki baat tau itna zorr nahi hai inme agar hota tau kuch kar chuke hote ab tak" Haider ne araam se kaha tha
"Aapke waalid ko bhi yehi lagta tha" Unki baat pe Haider ne upar dekha tau wo maanikhez nazroun se usse he dekh rahay they, wo baat chahtay na chahte bhi talkh thi lekin wo aesi baatoun ka aadi tha
"Bohat kuch badal chuka hai aur iss baat ki gehraiyoun mein na he jaaya jaye tau behtar hoga"
"Tum jaante ho na mere paas bohat se aese raaz moujood hein jo tumhare kaam ke hein? Unme se sabse barra raaz sabse ehem footage, tumhe de doun ga agar Minister Sahab ki baat maan lo tau"
"Aap jis lain dain ka keh rahay hein wo karoun ya na karoun, mere liye soda ghaatay ka he hai, waise bhi aap mujhe wo footage kiyon dein ge?"
"Jesa maine pehle kaha, mein tum dono bhaiyon ke kaam se mutaasir houn lekin Chief Minister Sahab se mere personal level pe taaluqaat bananay ja rahay hein aur tum jaante ho ye baat, mein tumhe chah kar bhi nahi de sakta, mere liye meri beti sabse ziada ehem hai" Waleed Sahab ne dhakay alfaaz mein unki beti aur Chief Minister ke bete ke rishte ka tazkara kiya tha, dono families ne media ko nahi bataya tha lekin unke social circle mein dono families ke tareeqoun se ye andaaza ho gaya tha
"Mein aapki soch ki qadar karta houn aur samajh bhi sakta houn, lekin aese mein, mera jawaab ab bhi wohi hai, mujhe ye zameen dena kisi bhi qeemat par qabool nahi hai"
"Bohat mushkil raah chun rahay ho"
"Aur koyi raasta nahi hai mere paas"
"Paighaam pohancha doun ga mein" Unki baat pe sarr asbaat mein hilatay ab wo jaanay ke liye khara hua tha
YOU ARE READING
Soz
ChickLitBook roman urdu mein hai - With an influential mark in the country and their strong-headed nature Haider and Zuhair Yazdaani knew the ins and outs of the system better then most, having been in the buisness-they lost both their parents to- they were...