3rd person p.o.v:-
"Alaya uth bhi jao jab se aayi ho soye ja rahi ho mera idher anxiety se bura hashar ho raha hai" Zaira ne kamre mein aayay Alaya ko jagananay ki kohshish ki thi, Alaya ke aanay pe woh kuch kaam se baahir gayi wi thi lekin ab tau usay wapis aaye we bhi teen ghante ho gaye they lekin Alaya soye he ja rahi thi"Sonay do na kabhi kabhi tau araam ki neend naseeb hoti hai" Alaya ne uska haath jhatakte kaha tha tau Zaira ne uske upar se razai hatatay usse phir uthanay ki kohshish ki thi
"Baad mein neend poori kar lena, abhi baat suno meri tumhe curiosity nahi hai maine tumhe kis liye emergency mein bulaya hai"Zaira ne ab usse lalach dete huye kaha tha tau wo ab ek gehra saans lete apni aankhein malte uth bethi thi, Zaira ne usse khaas call karke uski university se jaldi bula liya tha aur iske bawajood Alaya, jo ke raat bhar apni assignment ki wajah se jaagi wi thi, ghar pohanchte he iss baat ko nazar andaaz karte so gayi thi
"Nahi, pata hai mujhe aaj wo log aa rahay hein lekin batao kiya baat hai" Alaya ne neend mein uski aadhi baat sunte kaha tha, usne ghar mein enter hote he apni ammi ko tang karke usne asal baat nikalwa li thi, jabke Zaira jisne sabko mana kiya tha Alaya ko kuch batanay se kiyonke wo ye baat uss se khud karna chahti thi ab beyaqeeni se usse dekh rahi thi
"Soti raho phir baad mein na aana mere paas" kharab mood se paas parri pillow utha ke usay maarte wo wahan se ab jaanay lagi thi ke Alaya ne usse roka tha
"Zaira ek tau tumne mujhe foran kuch bataya nahi upar se nakhre bhi khud kar rahi ho sharafat se idher aao aur khabardaar jo yahan se hilli mein aati houn abhi phir batao saari baat mujhe" Alaya usse wahan bethne ka kehte ab apne washroom mein gayi thi aur kuch lamhoun baad mounh haath dho kar ab fresh ho kar baahir aayi thi
"Ab batao sab"
"Bataya tau tha maine tumhe sab, phir bus ammi abbu se unhone khud he baat karli phir unn dono ne mujhse poocha tau maine haami bhar di" Zaira ne mukhtasir sa jawab dete kaha tha
"Tumhe yaqeen hai na ke wo kisi ghalatmaqsad ke liye aesa nahi kar rahay?" Alaya ne Haider ke suggestion ke baaray mein poocha tha, uske yahan na hone ke bawajood Zaira ne usse call pe saara qissa bataya tha
"pata nahi, lekin agar koyi hai bhi tau Chief Minister se ziada matlabi tau nahi hoga na" Zaira ne ab tanziya muskuratay jawab diya tha
"Kab aayein ge wo log? Dinner ka plan hai kiya" Alaya ne ab Zaira ki shaadi ka sochte excitement se kaha tha
"Nahi shaam-" Zaira abhi baat kar he rahi thi ke Alaya ne uski baat kaati thi
"SHAAM YAANI DO GHANTAY BAAD AUR TUM YOUN BETHI WI HO" Alaya ne foran kharay hotay huye cheekha tha
"Tau aur kiya karoun?" Zaira ne uske andaaz pe hichkachatay poocha tha
"Utho tyaar ho, kapre soche hein konse pehno gi? Ruko mein dekhti houn tum tau bilkul he pagal ho"
"Ye tum tau khud do minute pehle mujhse pooch rahi thi ke uska maqsad kiya hai aur ab youn uchal rahi ho jaise pata nahi prince charming ho jiske saath mein pichle dass saaloun se muhabbat karti houn" Zaira ne eye roll karte tanziya kaha tha
"Uss waqt mein aur tareeqay se soch rahi thi lekin ab jab tumne haan kar he di hai tau mein tau apni ikloti behen ki shaadi enjoy karoun gi na aur phir dekho abbu ammi ne itni duaein kien thein tumhare liye, achanak se youn Haider bhai ka youn rishta aane ko mein tau Allah ki taraf se ishaara he samjhoun gi aur tum bhi iss rishte ko poore dil se aur poore taqazoun se nibhaana acha na mujhe yaqeen hai In Sha Allah wo tumhare liye behtareen saabit honge" uski baat sun kar Zaira bhi muskura di
In Sha Allah
YOU ARE READING
Soz
ChickLitBook roman urdu mein hai - With an influential mark in the country and their strong-headed nature Haider and Zuhair Yazdaani knew the ins and outs of the system better then most, having been in the buisness-they lost both their parents to- they were...