Anirudh caught fever

459 39 7
                                    

Continue with previous part.......

Suman - bhagyashaali ( lucky) hai aap jo aapko itni sundar, itna pyar karne wali, itna vishwas karne wali patni mil rahi hai kabhi bhi uska dil mat dukhana..........

Anirudh - phir to mere dada bhi bahut bhagyashaali hai unhe bhi to apne bachpan ka pyar mila hai.......

(Suman and Anirudh smile)

Suman - achchha chaliyeab so jaayiye kal Devipur bhi to jana hai na Bondita ke ghar chaliye uthiye aur achchhe bachche ki tarah so jaayiye........

(She laid him on bed and covered him with blanket and patted his head soon he drifted in sleep. Suresh came there while searching suman)

Suresh - Suman tum yaha ho? Tum to paani lene gayi thi na......

Suman - haan main paani lene hi jaa rahi thi yaha se guzar rahi thi to dekha rudh jaga hua the to yahaa aa gayi.......

Suresh - jagaa hua tha par Anirudh to is samay nahi jagta.......

Suman - Kuchh pareshan tha.......

(After hearing this he sat beside him and caressed his head)

Suresh- pareshan tha? Tabiyat to thik hai na iski.........

Suman- arey aap pareshan mat hoiye tabiyat thik hai iski..........

Suresh- to phir Bondita ke baare me soch rahaa tha?......

Suman- Hmmm... vivah ke liye puchh to liya par ab pareshan ho gaya ki kya thik kiya isne ye baat karke......

Suresh (chuckle softly) - ye ladka bhi na hamesha se aisa hi hai baat baat par pareshan hone wala.........

(Suman smile Suresh also smile and again caressed his hair and felt his head burning)

Suresh - Suman tum to keh rahi thi ki tabiyat thik hai iski par dekho iska to pura sharir tap raha hai........

Suman - kya! Abhi to thik tha......

(She also touch his head, cheek, neck and hand respectively)

Suman - Arey haan ise to bahut tez bukhar hai.....

Trilochan (from behind) - ab barish me bhigega to tabiyat to kharab hogi hi na.....

(Suman and Suresh turned toward the door and saw Trilochan kaka)

Suresh - kaka! Barish me big raha  tha ye......

Trilochan- haan aur nahi to kya......

Suman - aapne dekha ise bhigte hue.......

Trilochan- sirf humne hi nahi Binoy ne bhi dekha hai ise........

Suresh- chhote kaka ne bhi?...

Trilochan- haan, ab hum kya kare is ladke ka......

Suman- kaka sasur ji aap chinta mat kijiye main hoon na main sambhal lungi aap jaayiye aur aaram kariye raat bahut ho gayi hai.....

Trilochan- thik hai bahu hum jaate hai dhyaan rakhna iska....

Suman- ji kaka sasur ji......

(Trilochan kaka went from there)

Suman- Suresh ji ! Aap bhi jaakar so jaayiye kal subah saurabh ke vivah me bhi jaana hai.....

Suresh- nahi suman main yahi rahunga.......

Suman- par.....

Suresh (inturrupted) - koi par war nahi suman......

Suman- achchha thik hai........

Suresh - hmmm... achchha chalo ise jagaa kar dawaai de dete hai......

Barrister babu_ ANIDITA Where stories live. Discover now